View Single Post
shukriya Pulkit
Old
  (#15)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Love shukriya Pulkit - 13th October 2014, 12:11 AM

Quote:
Originally Posted by Pulkit_gupta View Post
दोस्तों आज कुछ बात चली जिसके चलते यहॉ बिताये पुराने दिन याद आ गये | उसी के चलते चंद एहसास पिरोये हैं |

Please do not search for meter in this post as their ain't any

"Kyun na puraane us ghar ko fir se sajaaya jaaye
Woh ehsaas fir se dilon me lagaaya jaaye

Yeh woh ghar hai jahaan bane kai ajnabee apne
Aao aaj fir se woh deep jalaa jaaye

Woh raushni chaand ki, mausam ka woh rukh,
Bedil Musafir ko is Kshitiz pe bulaya jaaye

Ghazalon ki mehfilen, Maikashi ka alam,
Talib ban is jagah ko Parastaar banaya jaaye

Musharraf Meena ke bikhre hon jahaan pe aashaar
Kureel aur Sifar ke nagmon ko sunaya jaaye

Banno ki Nazmen, Amanush ki ghazal,
Shimul ke gulaabon ko failaya jaaye

Mast hokar jo chaaye masti kaa mahaul
Sanj ki yaad me ek pal bitaya jaaye

Chalo puraane us ghar ko fir se sajaaya jaaye
Woh ehsaas se dilon me lagaaya jaaye"

Dear Pulkit....mere paas lafz nahi hai apne dil ki baat kehne ke liye...!

jab se tumhare yeh ehsaas padey hai aur pariwaar ke purane members ko dekha hai...meri aankhe num hai Pulkit.

"Awaz di hai aaj ek nazar ne, ya hai yeh ko gumaaN,
dohra rhi hai jaise fizaye bhooli hue daasta"

bahut saare pyar aur duaoN ke saath
tumhari dii




Quote:
Originally Posted by meena chheda View Post
मेरे पुलकित

यह सच है कि बिते हुए पल मूड के वापस तो नहीं आ सकते लेकिन यादें हमें बिते समय में सैर तो करा ही देती है.

मानो कल की ही बात हो ऎसा लगता है...
मुझे याद है .. मैने तुम्हें बताया था कि अगर किसी ओर का लिखा हुआ पोस्ट करो तो उसका नाम भी लिखा करो... और तुमने बहुत ही सरलता से बात मान ली. और उस पल से हमारा रिश्ता शुरू हुआ. आज इस पल तक तुमने इस रिश्ते को अच्छे से निभाया है...

आज हमारी बातचीत के परिणाम स्वरूप तुमने यह प्यारी रचना लिख कर मुझे भावुक बना दिया है!!

हमेशा खुश रहो.

स्नेह
तुम्हारी दीदी.

Meena dii, loveeeee uuuuuu

aaj muje pariwaar ke purane sadaya dikh rhe hai SDC par to sab aapki vajha se, agar aap mera haath pakad kar mera saath dene ka vaada na karti to shayad nye member aap sab se kabhi mil hi na paate...loveeeeee uuu diiii




Quote:
Originally Posted by Amanush... View Post
Na jaane kitni yaadeiN juDi houi heiN SDC ke saath, Chote Bhaiya...!

Tumhaari koshish hameiN behad acchi lagi...!

Apna khayaal theek se rakhna, ok...?

Aashirvaad ke saath



Danny Bhaiyaa....SDC ko aap sab ki jaroorat hai...pariwaar koi bhi ho, accha tabhi lagta hai jab badey apne se chottoN ke saath milkar unke saath chale aur unko sahi galat ka farak batayeN...so plsssss SDC ke liye thoda thoda waqt jaroor nikaliye apne busy schdule meiN se.

aapki chotti behan



Quote:
Originally Posted by mausam View Post
ohooo pulkit ...tumne to post bana bhi di

Bahut acche se yaadon ko piroya hain!

Sach woh arsa year 2004 ka kamaal ka tha...kitne maze karthe the hum yaha..Ek tadap si rehti thi website pe aane ki......Sab kitne busy ho gaye...

Pata nahin woh waqt fir ayega ya nahin....par us ehsaas ko mehsoos karke bada accha laga...

Mausam

Meri Mausam-e-bahaar, aaj maiN bahut khush hu

"lout aaye hai phir se roothi bahare,
kitna haseeN hai samma,
dunia se keh do na hamko pukare,
ham kho gye hai yahaN"


Quote:
Originally Posted by Aman_rahi View Post
Kutch kaha nahi jaa raha bhai...poorani yaadein taaza ho gayi....
Aman ji....kaha to hamse bhi kuch nahi ja rha...aap sabko ko yahan dekh kar...ham bahutttttttttt khush hai.

"Jivan meiN kitni veeraniyaa thi, chaaye thi kaisi udhasi,
sunkar kisi ke kadmoN ki aahat, halchal hue hai jara si,
sagar meiN jaise lehreN utthi hai, toot.ti hai khamoshiyaa"



Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
घर सजाने के फन में तो आप माहिर हैं सरकार

हम तो बस कुछ जरिया सा हैं आपकी मुस्कराहट बिखेरने का

आपसे दरखास्त है की आइन्दा भी सजावट में हमारा ख्याल रखियेगा
Dear Kshitiz...jaanti hu bahut masroof hai aap sab apni apni zindgi meiN...ham hamari aap sab se yehi iltija hai ki jaise ham apne roz ke kaam ke liye waqt nikalte hai, usi tarah har roz na sahi par routine meiN thoda thoda waqt jaroor nikaleN to SDC kabhi bhiiii veeraN nahi ho sakti.


"ab samaj aaya, kitna adhoora tha aapke bin SDC ka fasana,
yu saath chal ke, haath pakad ke, haath na phir se chudana"
gunguna uthi hai SDC ki bagiya, Pulkit ne sunaya jo tarana,
khil uthi har kali, Meena dii ne dheere se kaha jara muskurana,
Danny bhaiyaa ne aakar mehfil ko chaar chaand hai lagaya,
Aman ko dekh gulshan sara kehne lga ab na tum door jana"




Sanjoo ji se ham kabhi mil nahi paaye es baat ka hame afsos rhega, wo kitne pyare ensaan rhe honge jo unki baat chalte hi unke naam par mehfil jam gye, bhagwaan unki aatma ko sakoon de.

Dear Pulkit...aapki aik awaz ne sabko SDC par phir se hazir kar diya hai...aapki es koshish ke liye ham aapke teh-e-dil se shukarguzaar hai, aur umeed karte hai ki ab sab routine meiN aaya kareNge, kyuki ham poora din kahin bhi jaaye kitne bhi busy kyu na ho...raat ko to ghar aana hi hai

ham es mehfil meiN Masoom Shayar ji ki masoom nazamoN ko bhi miss karte hai aur Sakhi ki rachnao ko bhi, Shalini ka alag andaz likhne ka yaad aata hai, accha lagega agar yeh sab bhi es bazm ka hissa bane aur apni maujoodgi se es pariwaar ki ronak badayeN.

Pulkit tum reps ke haqdaar ho

reps +++


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...



Last edited by sunita thakur; 13th October 2014 at 12:15 AM..
   
Reply With Quote