View Single Post
Old
  (#21)
Pradhyuman
'Bismil'
Pradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant future
 
Pradhyuman's Avatar
 
Offline
Posts: 773
Join Date: Mar 2006
Rep Power: 38
3rd November 2011, 11:36 PM

vo ulfat ki baateN, vo mausam suhaane
bharam nikle saare khushi ke khazaane

kaha kis ne kya kya, nahiN yaad ab to
na ilzaam dena, haiN qisse puraane

bahot umda..waqai..

thi hasrat badi ke ho ik ghar bhi apna
haiN qismat meN apni faqat ye viraane

acha hai

dikhaayee na deta, sunaaye na deta
sitamgar ke jaane kahaN haiN thikaane

hmm..

juda mujhse hai to, khafa bhi to hoga
tasavvur meN rehta hai dil jo jalaane

yeh sher khula nahi mujhpar.. rabt nazar nahi aa raha donoeN misro meiN ..yeh meri kam ilmi hi hai shayad.

hai ik aaina bhi, mere ghar meN aisa
bulaata hai mujhko mujhi se milaane

haasil-e-ghazal..waah..yeh "aaina" shabd par sher bahot sooratoeN mein padh chuke hai..unme se mujhe bahot kam sher pasand aaye hai..lekin aapka yeh sher bahot pasand aaya.. uski wajah yeh hai "bulaata hai mujhko"

uthaayee qalam 'mast' hai kis liye ab
likhe jo taraane, kise haiN sunaane

acha hai..

vikram bhai..daad hi daad...bahot lyrical ghazal hai..definetely one of your best creation so far..

god bless
aapka dost,
Pradhyuman


-------------------------------------------------

gore ghareeban hai ye 'bismil', kyun tu naashaad nazar aata hai?
musht-e-khaak hai basi yahan, bata kahan fuwaad nazar aata hai?
--------------------------------------------------
   
Reply With Quote