View Single Post
My All Shayri.........wanna Read?
Old
  (#1)
aamirfaraz
Registered User
aamirfaraz has a spectacular aura aboutaamirfaraz has a spectacular aura about
 
aamirfaraz's Avatar
 
Offline
Posts: 120
Join Date: Nov 2002
Location: surat-india
Rep Power: 23
Post My All Shayri.........wanna Read? - 12th June 2005, 10:13 PM

.................................................. ..............................

“BHEEGI HUI ZULFO SE….”
Jab teri bheegi hui zulfo se BARSA pani,
jis kadar moti the unka wahin UTRA pani

unke husn-e-rukh-e-roshan se jo JHALKA pani,
nazar ke waste laya wahin,......... DARIYA pani

jisne dekha teri zulfo se,......... tapakta pani,
umr bhar phir kabhi ussne nahi MANGA pani

apni bebaak nigahi ka kuch ehsaas nahi,
dhal gaya ankho se kya teri haya KA pani
-AAMIR FARAZ
--------------------------------------------------------------------

"BAARISH...."

jalta hai ye dil ishq ki aatish mein
yaad aata haijab koi baarish mein

dil tadapta hai phir lamha - lamha
uske deedar ki ek khwahish mein

thandi thandi ye hawayen mujhko
phir jalati hain sard aatish mein

bhiga chehra aur badan q mujhe
dikhta hai q gulshan-o-aaraish mein

dhundta hu use be chaini se main
rang aur noor ki numaish mein

itna tadpati hai q raah-e-ishq
mujhse hai wo door q isi baarish mein

uska halka sa tasavvur bhi “faraz”
phir jalata hai yunhi baarish mein

-AAMIR FARAZ
-----------------------------------------------------------------------

“MUJHSE DOSTI KAROGE….”

teri nazar meri nazar se jab mili pehli baar
hone laga ye dil mera phir kyun beqaraar
teri nazar teer-e-nazar ban gayi e mere yaar
ghayal hua ye dil mera jeena hua dushwar
mere zakhmo mein chahat bharoge
kya mujhse dosti ...............karoge?
kya tum mere dil mein....... rahoge?
kya mujhse dosti................karoge?

mujhse wo pehli nazar..........., ek daastaan keh gayi
jo bhi zubaan keh saki na wo ye bezubaan keh gayi
phir mere khwabon mein aakar tune meri neendo ko churaya
phir mere dil mein samakar tune dil ko diwana banaya

teri yaadon mein tadpa hu main
tere pyar ko... tarsaa hu main
tu hi to hai meri justajoo
tujhse ye aaj kehta hu main

dhoonda ye saara jahan na jaane tum thi kahan
tere hi armaan meri aankho mein the jaan-e-jan
kai barso tak jaise maine kiya hai tera intezaar
meri hasrat ko puri karoge?
kya mejhse dosti karoge?
o jaana kya tum mujhse dosti karoge?
o jaana kya...............

-AAMIR FARAZ

-----------------------------------------------------------------

“TAARIIF….”

yunhi taarif karu q bevajah teri main,
teri adaaon ne majboor kiya hai mujhko,
yunhi dekha hi karu q har ghadi tujhko main,
teri hi aankhon ne majboor kiya hai mujhko.

tere honto se jab jab bhi kawal khilte hain
dilse nikle mere alfaaz ghazal bante hain
teri in aankhose tapke jo haya ki shabnam
meri in aankho me armaan ke mahel bante hain
yunhi maanga hi karu q bas tujhe hi rab se
teri hi yaadon ne majboor kiya hai mujhko

teri chahat ke jahan me hai kai parwane
ye bhi to jaan le hain hum bhi tere deewane
tere dil me hai kya ab to bata de ae shama
teri hasrat me na jal jaaye kahi deewane
yunhi ummeed karu q tujhko hi paane ki
tere hi vaadon ne majboor kiya hai mujhko

-AAMIR FARAZ

--------------------------------------------------------------------

“SHAMA…”

har mom ki dhun hai shamma bane
muztir hai pighal jane ke liye
har sang ka seena jalta hai
aatish me badal jane ke liye
(muztir=pareshaan)


har dil me gharaz ek khwahish hai
ummeed ka sagar bharne ki
har shae ki tadapti fitrat me
khwahish hai tarakki karne ki


aarif ne yeh samjha aasaish
ashko ko gira ke milti hai
qaatil ne yeh samjha insaan ka
yeh khoon baha ke milti hai
(aarif=pehchanne wala0)
(aasaish=raahat,sakun)


soofi ne yeh samjha woh dil ke
paimaane me mil jayegi
maikash ki samajh me ye aaya
maikhaane me mil jayegi



bas zauq-e-tarab me jo insaan
rehta hai sada maikhaano me
hai asal me woh bhi duniya ke
masoom tareen insaano me
(zauq-e-tarab=khushi ka shoq)

-AAMIR FARAZ
--------------------------------------------------------------------------

“CHAAHAT….”

chahte hain jisko itna....
chaha na kabhi bhi kisiko jitna.......
chahto ki ae dil kya sunaye daastan......

chahte hain jisko itna....
chaha na kabhi bhi kisiko jitna.....
ae dil magar use yeh .....
nahin hai..... khabar nahi hai!
nahin hai khabar?nahin.....hai!

kaise kahein haal-e-dil,usko zubaan se apni.
darne lage hain hum bhi ab to zubaan se apni
kya use zara bhi nazar ki khabar nahin hai?
nahin hai.........

baithe hi baithe yunhi q khwabo mein kho jaate hain
rehta nahin hosh kuch bhi,jaise madhosh ho jaate hain
ehsaaso ki bandishon ko ab seh nahin paate hain
ek lamha bhi hum sukoon se ab reh nahin paate hain

yeh hua hai mujhe kya?behke behke qadam hain
dil mein ghar hai ghamo ka,aankhe bhi ab to nam hain
ishq ne itne q diye zakhm hain?.....

khamosh dil ki sadayein usko sunaate hue
keh dete hain hum bahot kuch,kuch bhi na kehte hue
kabhi tadapte hue to kabhi machalte hue
rehte hain hardum hum uski yaado mein jalte hue

ishq ka yeh karam hai,ya ye koi bharam hai
paas hokar q mujhse,dooor mera sanam hai
ishq hai ya yeh koi sitam hai!.....

uske har ek saaz se bhi,hai meri dhadkan judi
meri iss awaaz mein bhi,hai uski chahat chupi
mere har ek geet mein bhi,bas uski tasveer hai
hai woh meri justaju bhi,woh meri taqdeer hai

woh meri shaan bhi hai,etbaar bhi woh hai
mera armaan bhi hai,mera pyaar bhi woh hai
mere dil ka qaraar bhi woh hai....

chahte hain jisko itna........
ae dil magar use yeh.......
nahin hai khabar.........

-AAMIR FARAZ
-------------------------------------------------------------------------

“AAPSE DOSTI HO GAYI…”
aapse dosti ho gayi
zindagi zindagi ho gayi

kaun jhanka khayalat mein
zahen mein chandni ho gayi

ek ulfat ka sooraj uga
har taraf roshni ho gayi

shabnami rut ka tha yeh asar
shaakh sookhi hari ho gayi

humse rukhsat koi kya hua
aankho me phir nami ho gayi

uska `anjum` yeh ehsaan hai
dhoop bhi chhaao si ho gayi
-ANJUM KANNAUJI(my father's ghazal)
-aamir faraz

----------------------------------------------------------------------------

...."DIL KYA KARE".....

ek ladki diwani si,khoi khoi si q rehti hai?
ek ladka diwana sa bechain sa q rehta hai?
yeh dil kya kare koi jab apna lagta hai,
yeh dil kya kare koi q apna lagta hai,

pehli nazar ka asar, chane lage dilon par,
saanse mahek jayein jab, mile nazar se nazar,
bechainiya badh jaye,har duriyan mit jaye,

phir suhana sa yeh manzar bag-bag lagta hai
saari khushiyan jhumti hain ,saara jahan b sajta hai
aur dil ke saaz par naya koi raag-e-ishq ubharta hai,
yeh dil kya kare koi jab apna lagta hai..........

aankho mein jab bhi kabhi chhane lage ek nasha
mehki si ho har fiza aur mehka sa ho har sama,
tab pyar ho jata hai aur ye dil bhi kho jata hai,

har ghadi phir pyasi nazre SANAM ko dhundti rehti hai,
dil tadapta jata hai aur dhadkane bhi badhti hai,
aankho me phir ishq ka haseen sa sapna jab sajta hai,
yeh dil kya kare koi jab apna lagta hai

ek ladki diwani si khoi khoi si q rehti hai?
ek ladka diwana sa bechain sa q rehta hai?
yeh dil kya kare koi jab apna lagta hai,
.......-AAMIR FARAZ

----------------------------------------------------------------------

"TERA MUSKURANA..........."

Tera muskurana mere dil ko bha gaya
tera sharmana mere dilko bha gaya,
yun nazrein mila ke phir sharm-o-haya se,
palkein jhukana.....mere dil ko bha gaya.

tune meri aankho se phir neendein churali,
mere dilko jane tune yeh kaisi saza di,
yu raton mein aksar mere khwabon mein aakar,
mujhe tadpana........ mere dil ko bha gaya.

tujhe chedta tha,teri main taarif karke,
mehfil mein jab aati thi tu banke-sanwarke,
yun baato hi baato mein phir naz-o-ada se,
tera rooth jana mere dil ko bha gaya.

tu kehti thi mujhse ishq-o-mohabbat ke qisse,
mai puchta tha tujhko mohabbat hai kis se?
naam uska lekar ke,dupatte mein apna....
tera chehra chupana mere dilko bha gaya.

nazar ke milane se bhi darrti hai ye nazar,
raah mein tujhse ab jo mulakat ho agar,
aankho se jab haal-e-dil bayan karke tujhse,
mera,dil haar jana,mere dilko bha gaya.

yeh sach hai ke main tera sanam to nahi hu,
magar main sanam se tere kam to nahi hu,
yadon mein sanam ke yunhi ro-ro ke khud bhi,
mujhko rulana..........mere dilko bha gaya.

khata ki nahi phir bhi khata-var jaana,
jaan kar bhi tune mujhko kyu na pehchana,
teri ek zidd ke........ be-jaan sabab se,
mera chot khana,.... mere dil ko bha gaya.

dil mein hai qaid yu to kai RAAZ tere,
ishq me pareshan hai kyu ab "FARAZ" tere,
teri yaad mein,.... mera tanhaaiyon mein.
aansu bahana,....... mere dil ko bha gaya
-AAMIR FARAZ

-------------------------------------------------------------------------------

....."AARZU".........
aarzoo kya thi dil me bata na saka
main use jaam-e-ishq pila na saka
uski chahat me itna main kho gaya
ek lamha bhi usko main bhula na saka

uske honto ko,uski aankho ko
uski zulfon ko, uski baaton ko
aur use dil hi dil me main chahta raha
kisi aur se bhi main pyar kar na saka
har tarah se wo mujhko satati rahi
chah kar bhi main usko sata na saka
aarzoo....

ek din usko mujhse juda hona tha
mere khwabon ko mujhse khafa hona tha
apne dil ko to maine samjhaya bahot
uska dil mera etbaar kar na saka
mere armaan ke aansu kitne nikle magar
uski furqat me aansu bhi main baha na saka
aarzoo...

jab wo jane lagi,aankh rone lagi
dil machalne laga,jaan nikalne lagi
us judai ke gham me tadapta raha
par mohabbat ka izhaar kar na saka
rokna chaha usko to dil ne bahut
apne dil ki sada usko suna na saka
aarzoo kya thi dil me bata na saka
.........-AAMIR FARAZ

-------------------------------------------------------------------------

......"TAMANNA"........

woh sunkar hoor ki taarif.......... pardese nikal aaye
kaha phir muskurakar,husn-e-zeba isko kehte hain

ajal ka naam dushman doosre maani mein leta hai
tumhare chahne wale..... tamanna isko kehte hain

mere mudfan pe q rote ho...,aashiq mar nahi sakta
yeh mar jaana nahin......,sabr aana isko kehte hain

namak bhar kar mere zakhmo pe tum kya muskuraate ho
mere zakhmo ko dekho........,muskuraana isko kehte hain

zamane ki adavat ka sabab thi................ dosti jinki
ab inko dushmani hai..........,duniya isko kehte hain

-AAMIR FARAZ
----------------------------------------------------------------------------

......."ZINDAGI???".........

main be adab hua........ ke wafa mein kami hui
honto pe q hai.....mohar-e-khamoshi chupi hui

aankho ki neendo ka sakun.... khwab ho gaya
main sochta hu ............yeh bhi koi zindagi hui?

mumkin ho jis tarah se bhi toofan me lo panah
kashti koi mili bhi? .....................kinare lagi hui

kambakht dil jala hai to ghar bhi jala ke dekh
duniya ko kuch pata to chale...... ke roshni hui

jis ka na tha khayal.............. wohi haadsa hua
jis baat ki ummeed nahi thi................ wohi hui

aansu bahe to dil ko...... muyassar hua sukun
paani laga to kisht-e-tamanna.......... hari hui

ehsaas mar na jaye.............. to insaan ke liye
kaafi hai ek raah ki ..................thokar lagi hui

aati na unke saamne....... honto pe dil ki baat
har chand gaah-gaah ..........mulaqaat bhi hui

woh jab bhi mile hain ...to ye keh ke rah gaye
muddat ke baad aapko........ dekha khushi hui

if u`ll like it pls reply me, urs only
..........-AAMIR FARAZ

----------------------------------------------------------------------------

......."humsafar"............

kabhi mujhko saath lekar,kabhi mere saath chalke
woh badal gaye achanak...... meri zindagi badalke.

hue jis pe maherbaan tum,koi khushnaseeb hoga
meri hasratein to nikli, mere aansuon mein dhalke

teri zulf-o-rukh ke qurbaan dil-e-zaar dhundta hai
wohi champai ujale..........wohi surmai dhundhalke

koi phool ban gaya hai...........koi chaand,koi taara
jo chirag bujh gaye hain......teri anjuman me jalke

teri be jhijhak hansi se........ na kisi ka dil ho maila
yeh nagar hai aaino ka yahan saans le sambhalke
.............-AAMIR FARAZ

---------------------------------------------------------------------------

....."rah-e-ishq".....

rah-e-talab se dil ko na roko,................jaye agar to jane do
gir ke sambhalna behtar hoga,...........ek thokar kha jane do

shola-e-husn pe ban ke patinga,..........dil jo jala hai jane do
be samjhaye samajh jayega,.................koi charka khane do
(charka=halka sa zakhm)

ek bhayanak khwab hai goya,..................jis ki taabir ulti hai
hum bhi samajh lenge matlab ki,.......naseh ko samjhane do
(naseh=salahkar)

dil ki bhadaas na niklegi to,................jaan hi par ban jayegi
zaher ke qatre hain yeh aansu,........behte hain beh jane do

khilte phool,phaphakte paude,shama-o-chirag sahar ke hain
rang chaman ka yeh na rahega,......din to khizan ke aane do
............-AAMIR FARAZ

.................................................. ...........................................


-AAMIR FARAZ

"do lamho ke hi waaste aa bazm mein FARAZ
sadiyon se yeh nigaahein hain muntazir teri"
   
Reply With Quote