View Single Post
Re: Paagal si hai Kavita !!
Old
  (#17)
Kanchan
Registered User
Kanchan is on a distinguished road
 
Kanchan's Avatar
 
Offline
Posts: 463
Join Date: Dec 2005
Location: Dehradun
Rep Power: 19
Re: Paagal si hai Kavita !! - 9th February 2006, 03:30 PM

Quote:
Originally posted by Vipinbox
Nishabd stabdh
si hai meri Kavita.
...jaane kyun pareshaan si hai meri Kavita !!

Kabhi sach kabhi jhoot
kabhi apni kabhi paraayee
...ek swapn si hai meri Kavita !!

Door kahin ehsaas ki
bheeshan si varsha mein
...sookhta registaan si hai meri Kavita !!

Na patth na parhaav
bas khaayiyaan hee khaayiyaan
...patth bhramit pathik si hai meri Kavita !!

Simti hui sshmi hui
apna jism khoti
...ek behti nadi si hai meri Kavita !!

urdhkar door kahin
kshitij aakaash mein
...aawaara baadal si hai meri Kavita !!

Na rukti na tthertee
is shoonya se uss shoonya
...bhatakti firtee si hai meri Kavita !!

Kehta apne shabdon ko
nisankhoch nirbhaytaa se
...chauraahe ke paagal si hai meri Kavita !!
Simti hui sshmi hui, apna jism khoti.
Vipin, ye lafz kaha se latey ho tum jo mon ker jate hein.
   
Reply With Quote