View Single Post
Ek Ladka Aur Deewana Ho Gaya
Old
  (#1)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
Thumbs down Ek Ladka Aur Deewana Ho Gaya - 8th December 2005, 04:48 PM

naa poocho kee subhah thi kee din tha kee raat thi
har gali har mod har chaurahe par ye baat thi
are suno suno suno afsaana ho gaya
ek ladka aur deewana ho gaya

log ek doosre ko suna rahe the
suna suna kar tahake laga rahe the
kee jabse dekha hai usne us ladkee ko
kho betha hai apnee neend aur chain
rehta hai har pal vo bechain
naa lagti hai use bhookh naa lagti hai pyaas
har samay rehti hai bas usi kee aas
sabne kaha ye kissa to puraana ho gaya
ek ladka aur deewana ho gaya

sabne samjaaya use jaa kar le usse baat
tabhi katega din aur tabhee kategi raat
bitaa uske saath ek hansen shaam
tabhe milega tere bechain dil ko aaraam
usne bhi suna diya jaa kar haal e dil
ladkee bhi thi naadan foran gayee pighal
sabne kaha ye to ishq ka bahana ho gaya
ek ladka aur deewana ho gaya

milta tha ab usse vo har din
kehta tha jee nahin paaonga ab tere bin
ladke ke paas bas yehi kaam tha
aankho mein usiki soorat hothon pe usika naam tha
dekthe hee dekhte beetne waala saal tha
ladke kaa pyaar mein bura haal tha
sabne kaha ye to shama kaa parwanna ho gaya
ek ladka aur deewana ho gaya

kab tak chipate vo apna pyaar jamane se
ek din pata chal hee gaya bahane se
bas phir kya jo nahin hona tha ho gaya
roj roj kaa chip chip ke milna band ho gaya
ladkee ke ghar mein shaadi kee baat hone lagi
pyaar ke ujaale nein raat hone lagee
pyaar kaa dushman phir jamana ho gaya
ek ladka aur deewana ho gaya

ladka bola chal bhaag kar ,kar le shaadi
ladkee boli mujhe nahin chahiye aisi barbaadi
ladka bola pyaar hai phir kyon ye doori hai
ladkee boli samjha karo jaan majboori hai
marta kya naa karta maan gaya uski baat
ab to pehle se bhi bure the uske haalaat
accha uska dil kaa lagaana ho gaya
ek ladka aur deewana ho gaya

aaj kal rehta hai vo apne mein hee gum
vo kya karega khud use hee nahin maaloom
milta hai to pareshhan hota hai
naa mile to bechain rehta hai
maaangta hai use bhagwaan se har pal
umeeh hai bitayaga uske saath aane waala kal
ise bhi ishq kaa najraana ho gaya
ek ladka aur deewana ho gaya



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote