View Single Post
Old
  (#24)
sabaa kiyani
Registered User
sabaa kiyani will become famous soon enoughsabaa kiyani will become famous soon enough
 
sabaa kiyani's Avatar
 
Offline
Posts: 455
Join Date: May 2015
Rep Power: 10
27th May 2016, 12:08 AM

Maqrooz Ke Bigray Huye Halaat Ki Maanind
Majboor Ke Honton Pe Sawaalaat Ki Maanind

Dil Ka Teri Chaahat Mein Ajab Haal Hua Hai
Sailaab Se Barbaad Makaanaat Ki Maanind

Mein Un Mein Bhatkay Howay Jugnu Ki Tarah Hun
Usss Shakhs Ki Aankhain Hain Kisi Raat Ki Maanind

Dil Roz Sajaata Hun Mein Dulhan Ki Tarah
Gham Roz Chalay Aatay Hain Baaraat Ki Maanind

Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke Kya Naam Tha Os Ka
Jis Shakhs Ko Maanga Tha Manaajaat Ki Maanind

Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khwaahish
Maasoom Se Bachay Ke Khayaalaat Ki Maanind

Uss Shakhs Se Mera Milna Mumkin Hi Nahi
Mein Pyaas Ka Sehra Hun Wo Barsaat Ki Maanind

Samjhao Mohsin Us Ko Ke Ab Reham Kare
Dukh Baant’ta Phirta Hai Woh Soghaat Ki Maanind


sabaa kiyani
   
Reply With Quote