Thread: Bhakti Sangeet
View Single Post
Old
  (#14)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
Love 23rd August 2010, 08:57 AM

doston mai pahla bhajan post kar raha hun mujhe sabse jyada pasand hai aap log bhi padiye

bhishm ne jab duryodhan se kaha ki kal mera parakrm dekhna me ek paandav ko avashy maar dunga | yah samaachaar shri krishn ko bhi mil gaya, unhone aadhi raat ko dropdi se kaha- chalo jaldi chalo, pahle bhishm ji se tumhe aashirwaad dilva dun |


khud to bahar khade rahe, bheetar bhaija panchaali ko
yati baba ke charno me, jaakar apna mastak rakh do
ardh raatri ki bela me, bhishm ki lagi samaadhi thi
man prabhu charno me leen hua us jagah naa koi vyadhi thi
krishnaa ne jaakar sir rakha, charno me bhishm pitamah ke
charno me kaun jhuka, baba bheeshm ek dam chaunke
dekha ek sadhva naari hai, charno par sheesh jhukaati hai
uske tan ki rangi saari, sadhva pan ko darshaati hai
ashirwaad mukh se nikla, saubhagyavati bhav ko beti
tere haatho se mehandi ka, naa rang kabhi chhute beti
aashirwaad main deta hoon, sindoor se maang na kaali ho
var deta hoon main yeh beti tu vir kumaron vaali ho
krishnaa ne sunkar turant kaha, baba ye kya batlaate ho
kal aur aaj kuchh aur kaha, tum satywati kahlaate ho
mere paancho patiyon me se, yadi ek bhi mara jaayega
aashirwaad baba tera kya, jhota nahi kahaayega
haathon ki mehandi rahne do, saari ka rang udao naa
sindur jo meri maang ka hai, baano se use mitao naa
ab aaya hosh pitahmah ko, haathon se maala chhut gayee
prabhu charno me jo leen hui, chit chor samadhi tut gayee
bole beti in prashno ka, uttar peechhe de paunga
tere suhaag ka nirnay bhi, mai peechhe hi kar paunga
ek baat khatakti hai dil me, hairaan hai jisne kar daala
batla beti vah kahan chhipa, is jagah tujhe laane wala
budha hone ko aaya hai, par ab bhi nahi gayee chori
nit nayee ritian chalta hai, tumse chori hamse chori
putri tumne mere kul ko, itna pavitr kar daala hai
pahra deta hoga tera, jo vishv rachaane wala hai
bahar aakar ke jo dekha, dyodhi ka drishy niraala tha
peetambar ka ghunghat daale, vah khada baansuri wala tha
charno me jaakar lipat gaye, chhaliya chhalne ko aaya hai
bhakto ki raksha karne ko, daasi ka rup banaaya hai
kahte hain dropdi ka joota tha, peetambar ke kaune me
ur me karuna ka bhaar liye, the lage pitahmah rone me
he drupad suta meri beti, jao ab vijay tumhaari hai
satiyon ka baal na banka ho, jab rakshak krishn murari hai||


radhe radhe


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com

Last edited by ISHK EK IBADAT; 23rd August 2010 at 09:00 AM..
   
Reply With Quote