View Single Post
Waalid ki Wafat Par [Nida Fazli]
Old
  (#1)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Post Waalid ki Wafat Par [Nida Fazli] - 23rd December 2002, 11:37 AM

DostoN ye ek Khoobsurat Rachna Shri Nida Fazli saahab ki aap sabhi ko pesh karta hooN, aap logoN ne mehboob ke baare me to bahut kuchh likha ya suna hoga ab ek Pita(Father) ke liye Putra(Son) ke jazbaat parhiye, aasha hai aap sabhi ko bhi pasand aayegi.

Waalid ki Wafat Par

Tumhaari Qabr par mai
Fatwa parhne nahi aaya,
Mujhe maaloom tha tum mar nahi sakte
Tumaari maut ki sacchi khabar
Jisne udaai thi, wo jhutha tha,
Wo tum kab the
Koi sukha hua patta, hawa se gir ke tuta tha,

Meri aankheiN
Tumhaare maNzaaroN me qeid hai abtak
Mai jo bhi dekhta hooN, sochta hooN
wo- wo hi hai
Jo tumhaari neknaami or badnaami ki duniya thi,

KahiN kucch bhi nahi badla

Tumhaare haath, meri ungliyoN me saaNs lete haiN
Mai likhne ke liye jab bhi, kagaz kalam uthata hooN,
Tumhe baitha huwa mai
Apni hi kursi me paata hooN,

Badan mai mere , jitna bhi lahu hai
Wo tumhaari
LagzishoN nakaamiyoN ke sath behta hai,
Meri aawaaj me chhupkar, tumhaara zehen rehta hai,

Meri BeemaariyoN me tum
Meri LachaariyoN me tum,

Tumhaari Qabr par jisne tumhaara naam likha hai
Wo jhutha hai,
Tum mujh me jinda ho
Kabhi fursat mile to, fatwa parhne chale aana.

By Nida Fazli

DostoN yadi koi galati ho to maaf kijiega, mai urdu ka achha jaankaar nahi hooN.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand

Last edited by maikasH; 19th April 2005 at 10:20 PM..
   
Reply With Quote