View Single Post
aao kuch naya kare.........
Old
  (#1)
ranju bhatia
Registered User
ranju bhatia is a jewel in the roughranju bhatia is a jewel in the roughranju bhatia is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 544
Join Date: Mar 2006
Location: Delhi
Rep Power: 21
aao kuch naya kare......... - 20th April 2006, 07:16 AM

Kabhi-kabhi lagta hai............
yun hi bewajah si beet rahi hai zindagi...........
jaise ek hi dhuri, ek hi samye ke pahiye par bina raftar si beh rahi hai zindagi.......

Har mahine ki pehli tarikh aate hi tum kehte ho.........
jo samaan lana hai usko list bana do.......
kaun si "daal" kitne "chawal" aur kitna "aata" lana hai yeh bata do.......
kis ki is mahine kya jarurt hai yeh bhi batla do.........

bas isi tarah mahine dar mahine beet rahi hai zindagi............
in sab se yeh gher toh bhara bhara lagta hai.......
par na jane kyu koi "man ka kona" reeta sa lagta hai.........

Aao,......is baar kuch nayi si list banaye........
is nayi list ke saaman se apni uljhati si zindagi ko kuch sulajaye.....

is nayi list ke saaman mein sabse pehle.......
ek tukda aasman ka lana......
jis mein ham fir se dur dur tak pyar ki ek nayi udaan bhar sake......

lana ek dhup ka tukda........
jiski garmi se ham dono apni thandi hoti "bhawanao" ko garma sake.......

ek tukda tazzi hawa ka bhi lana.........
jis se ham apni pradusheet hoti saanso ko fir se mehka sake.........

aur suno, ho sake toh thode se rang indra-dhanush ke le aana......
jis se ham apni badrang hoti zindagi ko naye rang de sake.......

Janti hun....."tum kahoge ki in sab cheego se ghar nahi chalta......."
Aasman ka tukda .........Tan nahi dhakata......
Dhup ki garmi se.........pat nahi bharta.......
Aur tazi hawa......woh kaha ab milti hai..........?
Indra-dhanush ke rang bhi ab dikhate hai kam.........

Par dekho koshish karke ek baar toh yeh sab jarur lana.....
Taki bewajah ubati . ek hi dhuri par ghumati is zindagi ko.......
fir se ek naya rang, ek madhur sangeet ki laye de sake.............


ranjana
   
Reply With Quote