View Single Post
terii yaad ki sham'aa se haiN ujaale......Ghazal
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
terii yaad ki sham'aa se haiN ujaale......Ghazal - 24th May 2006, 04:45 AM

aadaab dosto,




Ghazal ka matlaa pehle likha , socha tha ke ek musalsal Ghazal kehne ki koshish karuuNga lekin phir Gham-e-yaaraN ke takaazey se mooNh na phera gaya to Ghazal yuuN huii, aapki khidmat meiN pesh kar raha huuN


Ghazal ka matlaa mere ustaad-e-mutarim ke aNdaaz-e-sukhan ka saaya hai, voh aksar ziNdagi ki kadvi sacchaiiyoN ko sukhan meN dhaalte rahe haiN, maine kabhi tassavur taq na kiya tha ke maiN kabhi is silsiley meiN koi she'r kahuuNga lekin in dinoN ziNdagi kuch aisi berukhii se pesh aa rahi hai ke yuuN hi chalte chalte do misrey zehan meiN aaye aur is Ghazal ka aaGhaaz hua.....pehle do misroN meiN ek aise mehnatkash aadmi ka haal-e-dil bayaan karne ki koshish ki hai jo din bhar jee toD mehnat karta hai aur shaam ko jab uski hatheli par do sikkey Tikaa diye jaate haiN jis se voh apna aur apne parivaar ka ek liye do roTiiyaaN taq na khareed sake to voh apne haathoN ke zakhmoN ko dekhte hue ro padta hai.........khair aap Ghazal mulaiiza kijiye :-



miley na jo mehnat se do bhi nivaale
roya maiN dekh apne haathoN ke chhalley

kareiN bhi gilaa ab to kis se kareiN
humhiiN ne to saaNp aasteenoN meiN paale

Gham-e-ziNdagi ke aNdheroN meiN jaanaaN
terii yaad ki sham'aa se haiN ujaale

kuch aur hi baat thi unki saaqi
vo dete the bhar ke jo aaNkhoN se pyaale

badi aarzoo hai ke mehNdii lagaa kar
vo aa ke mere kafn pe khaak daale

chali aana saara jahaaN aazmaa kar
maiN baiThaa huuN apni wafa ko saNbhaale

"maikash" tere baad dhooNdeNge tujhko
"sharaabi,sharaabi" tujhe kehne vaale




kahir aNdesh
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote