View Single Post
Sher pe Sher....
Old
  (#1)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
Sher pe Sher.... - 13th February 2013, 04:53 PM

Doston...

Jis tarah se shayri ki pathshala section khulne ke baad hum logon ke chchere pe khushiyon ki laher daud padii hai, aur kai tarah se pahle ho rahi hai shayari ki technicalities seekhne ki...

Isi lihaaz se ek nayaa khel hum shuru karne ja rahe hain.. jisme hame kuch khaas nahi, bas ghazal ki baareekiyaan, jaise, qaafiyaa, radeef, behr etc ko dhyaan me rakh kar sher pe sher kehnaa hoga...

Rules neeche de deta hoon...

1) Kisi shaayar ki ghazal ka ek misraa liyaa jaegaa. (khas kar matla) aur usi ko aage badhaate hue members apne apne sher kahenge.
member ek baar me sirf ek hi sher kahe.... repeat kar sakte hain magar kisi dusre member ke post ke baad...


2) Qaafiya badlaa jaaega, aur radeef same rahega...

3) Aap log use kiyaa huaa qaafiyaa istemaal kar sakte hain, magar shart ye hai ke ek hi qaafiya lagatar istemaal na kiya jaae. lafz "agar" ke baad, "magar", "dagar", "thahar" kuch ek baar aa jaae uske baad aap waapas "agar" use kar sakte hain.

4) Behr ki paabandii hai, aap usi behr me sher kahenge jis behr me upar likhe shaayr ka sher hoga.

5) beech beech me shuruaati (shayar ka origional) sher badalte rahenge.. jisse hame alag alag behr aur khayaal ka lutf milta rahegaa...




to aaiye shuru karte hain is khel ko jiska naam hai "Sher pe Sher"

shuruaat karte hain Daag ke is khoobsurat se sher ke saath....





Ajab apanaa haal hotaa jo visaal-e-yaar hotaa
kabhii jaan sadaqe hotii kabhii dil nisaar hotaa





Ab jaise ki hum is sher me dekhte hain ke radeef hai "hota" aur qaafiya hai "aar"

behr kuch yooN hai....

1121 2122 1121 2122

(Agar main Ghalat houn to durust kareN...................

to aaiye, aapke sher ka intzaar hai..


Shaad...
   
Reply With Quote