View Single Post
Old
  (#38)
jaf
Registered User
jaf will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 76
Join Date: May 2003
Location: lucknow
Rep Power: 21
30th July 2004, 06:06 PM

Bhai maafi chahata hoo
information aap ne jo di hain wo elementry level ki hai

main koi shayar nahi hoon
bas urdu adab main thoda sa is bachhe ka bhi naam hain
kahene ko kai majue likhe hain humne

waise jis tareekhe se aap ne information de hain wo khabil-e-tareef hain
presentation achha hain

ghazal or rubait ka sab se bada diff. jo hota hain wo sama ka hota hain
ghazal main sama nahi banta hain
PUS badalta rahta hain har sher main

rubait main conti. chalta hain

agar aap ne meer anis or dabeer ke kaseede pade hunge
ya firaag sahab ki shayari
ya galib ki (waise unki palle nahi padti hain shayari coz aadhi se zaada wo farsi use karte the urdu ki jagha)
sab ka apna apna alag dhang tha
par aaj tak silsila wahi chala aa raha hain jo sadiyon se chalta aa raha hain
sab ne bola yahi
par jab likhne ki baari aayi to kisi ne bhi 1 bhi mukammal ghazal nahi likhi
sab ne sama bandh diya tha

bhai hum to kahte hain ki
jo sunne main achha lage wo ghazal hain
  Send a message via Yahoo to jaf  
Reply With Quote