14th April 2004, 09:49 AM
Thodi uljhan ho rahi hai hamein yahan... lekin yeh raha teesra (3rd) sher...
zara dekhein nazar bhar ke ruk to sahi.
karein deedar jee bhar ke ruk to sahi.
-masoom_s
bey gaanahe aur bhi bahut hai bhari duniyaa mein
mehfil-e-husn mein naa shinaas yaar, ruk to sahi
-Mast
nigaah-e-jaam hain ki sabab mere mitne kaa
hone de makhmoor yaar jee bhar ke ruk tau sahi
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|