View Single Post
Ek Dukh bhari kahani...
Old
  (#1)
Rohin
Registered User
Rohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to behold
 
Rohin's Avatar
 
Offline
Posts: 3,937
Join Date: Dec 2003
Rep Power: 32
Ek Dukh bhari kahani... - 23rd April 2006, 04:59 AM



Namaste Doston,

Meine shayri.com par bahut waqt bitaya hai... aur yahan par ek se ek unda lekhakon ko padha hai.. har lekhak ki apni ek khaas baat ek adaa... kissi ke likhavat mein saadgi to kissi ke likhne mein naveenta... kissi ke gehri soch... kissi ke mein pyaar to kissi ke mein dard... aur har ek ki soch ko padh kar dil wah wah kare bina nahi thakta.. meine yahan bahut kuch seekha hai.. aur sikhne ki koshish kar raha hoon... aur issi baat ki wajah se meine thoda likhna kam kar diya hai... kyunki itna kuch jo sikha hai... usko apni likhavat mein bandh kar pesh karna seekh raha hoon.... aaj jab mein apni koi purani post par jaata hoon.. to sochta hoon... uff... ache khase kalam ki dhajiya uda di... ya phir uff... yeh to mein aur bhi behtar likh sakta tha... magar us har kalam mein meine lekhak ki ek seedi chadhi hai... aur thodi khushi bhi hoti hai ki meri lekhi mein kuch sudhar aaya hai.... meine kitne hi form of wriitng ko seekha... aur samjha... haalaki meri kamzori hai ki mein baandh kar nahi likh sakta... mujhe lagta hai ki bus khayalon ko pankh de doon aur unhe udne doon... kaunsi soch n.jaane kahan le jaaye...


bus aaj phir se yunhi ek lekh pesh kar raha hoon... mein nahi jaanta yeh kaisa hai ... acha hai ki bura hai... magar bus kuch khayal hain....mujhe khushi hogi agar aap apni rai mujhe denge....

Chaliye pehle ek samma baand deta hoon....
mein filhaal uk mein rehta hoon... mere ghar ke piche ek aangan hai... yahan sardi achi hoti hai... to bahar bethne ka mauka nahi milta... aaj mausam bahut suhana tha... to yunhi mein wahan aangan mein raat ke samay leta hua tha aasman ko dekh raha tha... aur bus yunhi kuch zeham mein aa gaya....Chaand badalon mein beth mujhse luka chipi khel raha tha, Sitaron ka mela jagmagate hue aasman ko roshan kar raha tha.bus tabhi kuch likha....

Magar aap sab aage padhein usse pehle kuch kehna chahta hoon....

Pyaar ka ehsaas zindagi ka sabse khoobsurat ehsaas hai... pyaar ke bina zindagi adhuri hai... yeh khayal jo mein aap sab ke samaksh laya hoon woh seedhe aur saral hain samjhne ke liye... magar mehsoos karne ke liye bahut mushkil... yeh ehsaas to woh hi samjh sakta hai jisne zindagi mein kabhi na kabhi kissi na kissi se pyaar kiya ho... saccha pyaar... yeh lekh bhi mere kayi lekh ki tarah hi saada hai... magar agar isse padhte hue aap sab ki aankhein thodi bhi namm hui hon to mein shayad kamyab hua hoon aapko samjhane mein ki sache pyaar ka ehsaas kaisa hota hai...

--------------------------------------------------------------
Aaj phir baadalon se Chaand nikla hai
Aur mera Chaand mujhse duur kahi.N hai

Aise hi Chaandni Raaton mein
Woh mujhse milne aaya karti thi
Sapno mein kho jaati thi duniya
Par Woh meri hi raah takti thi
Mein aata milne chipte chipate
Ek chaat se dusri kudte phankte
Woh bhi dabe paaon aaya karti
Sabki nazron se bachti bachati
Mere seene se woh lipat jaati
Mein baahon me usse samet leta
Ghanton Chaand ki Roshni mein
Ankhiyon mein hi baatein hoti
Jo hone lagti bhor woh chali jaati
Kal milne ka vaada kar chali jaati

Bujhti Shaam ko dariya ke kinaare
Aam ke ped ki dal par mein betha
Karta tha inteezar us ghadi ka
Ki kab woh milan ki bela aayegi
Aati thi woh milne chip-chipake
Ma ki nazron se bach-bachake
Lehrate hue chunar liye kheton mein
Woh aati daudte hue nange pawn liye
keh kar aayin hoon milne tumse
har ghadi jaane ki baat karti thi
bahut kuch tha paas uske kehne ko
mein sunta rehta uski bholi baaton ko
Kehkar chulhe par maa raah takti hai
daudti hui jaati unhi kheton ki orr

Phir aata jab bhi mela gawn mein
Tab sakhiyon sang milti thi
Chudiyon ki dukaan par
Rangeen Kaanch se dekhti thi
Paas bulata jo mein usko
Woh saheliyon ka bahana karti thi
Idhar se udhar karti rehti
Nazrein mili to ishaara karti
Dekh udas chehra mera
Woh sandesha bhijvati thi
Milegi woh raat ko chaje par
yeh vaada karke mujhe manati thi
Phir duur khadi muskurati thi
Dekh uski muskan dhadkan tez ho jaati thi

aise hi ek raat mein gaya tha milne
Usne sakhi saath sandesha boli thi
Mein aaya khush hokar milne usse
Woh ghabrate hue milne aayi thi
Aankhon mein uske aanson the
Saanson mein ek udaasi chayi thi
Seene se lagg ke woh gale
phut phut kar royi thi
bahut poochne par woh boli
agle mahine uski shaadi hai
Duur gawn se rishta aaya tha
Baapu ne zubaan de aayi thi
inkaar nahi kar paayi woh
Apni majboori mujhe batlayi thi

Dekh aanson uske chehre par
Meine bhi rona chaaha tha
yaad dilayein woh kasmein
jo usne mujhse kiya tha
rahegi sada woh khush
Vaada yaad usse dilaya tha
sar hila kar inkaar karke
woh seene se lipat aayi thi
Bhar aaya gala mera
par kaise yeh majboori thi
ro bhi nahi sakta tha mein
aise yeh kaise ghadi aayi thi
Kuch nahi kaha Kuch nahi poocha
aansoon pooch usko ruksat kiya

kuch roz pehle uski shaadi thi
Mujhe bhi wahan jaana tha
jahan leke jaani thi baarat
wahan baarat ko nivana tha
churake aankhiyan usse
kaise kaanti woh raat thi
dekh usse dussre ki hote
jaane kaise mujhpe beet aayi thi
chehre par muskaan liye
aankhon ki nami chupayi thi
rahe sada khush woh
yehi meine mannat maangi thi
ho jaayein saare aansoon mere
uski khushiyan hi maangi thi

Aise hi chaadni raat jab hua karti hai
mein jaata hoon wahin us chaje par
Jahan hum mila karte the
Chute-chupate hum mila karte the
Ghanto Chaand ko dekhta hoon
Tanhaiyon se baatein karta hoon
Woh ab kabhi nahi aayegi
Magar yaad har pal mujhe satayegi
Aankhein num hain us ehsaas se
Ki bus itni hi humari kahani thi
Woh hai duur bahut duur mujhse
Magar dil mein ab bhi paas hai
Chaand ki tarah woh aasman mein
Mein dharti par uske chah mein

Uska saath paaney ki khwaish
ab Chaand ko chuney si lagti hai

-- Rohin Bhargava
--------------------------------------------------------------


http://www.thoughtsunbound.com a place for my thoughts
   
Reply With Quote