View Single Post
Old
  (#1023)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
18th June 2015, 11:44 PM

Waah..bahut khoob doston ek se badhkar ek sher huye hain..lijiye akhiri chhoti si koshish meri taraf se...

Matla
Adhoore khwaab aankhon ke mujhe aksar jagate hain
Vo baatein aur woh pal chhin bahut ab yaad aate hain (Madhu)


1st sher
Tera waada tha har pal tuu mujhe yun shaad rakhegaa
Tumhaare khat mujhe reh reh ke jaane kyu rulaate hain (Masti)


2nd sher
likhe they naam ham dono ne jin pe.Don ki shaakhon pe,
guzartaa hoon jo raahon se to aawaazen lagaate hain (Shaad)


3rd sher
Wo taare jin ko gin gin ke guzaari thi kai raatein
Wo taare ab mujhe aksar usee chat par bulaate hain (Masti)


4th sher
wahi par aake baitha hoon jaha guzri thi sab shaamein
meri ulfat ke yeh goshe* mujhe ab bhi sataate hain (Mast)

*corner/privacy


5th sher
ke jab bhii yaad me terii hue hain mubtilaa jaanaa,
to tasweeron ko terii jaane jaaN dil se lagaate hain (Shaad)


6th sher
jo dete the su.koon mujh ko kabhi aaghosh mein tere
vo lamhe ab mujhe aksar judaaii mein rulaate hain(Sunita Virender)


7th sher
jo honthon par nahin aayi vo apni hi kahaani thi
tha dil kis baat par toota yeh qissa hum bataate hain (Mast)

8th sher
Muhabbat ke tarano si jo in kano me ghulti thi
Na Vo barish he hoti hai na ab badal darate hain(madhu)

Last edited by Qasid; 19th June 2015 at 11:10 AM..
   
Reply With Quote