View Single Post
Old
  (#38)
Parwaazz
Aazaad Panchi
Parwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really nice
 
Parwaazz's Avatar
 
Offline
Posts: 312
Join Date: May 2010
Location: SKY
Rep Power: 17
19th June 2010, 01:29 AM

Shikwa By Sir Alaama Iqbal

Ham jo jeetey thay to jangon ki museebat ke liye
Aur marte thay tirey naam ke azmat ke liye
Thi na kuch tegh zani apnee hukumat key liye
Sar bakaf phirte thay kiya dhar men daulat ke liye?
Qaum apni jo zaro-maal-i jahan par marti
But faroshi ke iwaz but shikani kiyum karti?

Mahfil-i kaun-o Makan men sahar-o sham phiray
Ma-i tauheed ko ley kar sifat-i jam phiray
Koh men’ dasht mey ley kar tira paigham phiray
Aur maaloom hay tujh ko kabhi nakaam phiray
Dasht to dasht hain darya bhi na chorey hamnay
Bahr-i zulmaat men daura diy-e ghorey hamnay

Safah-i dhar se batil ko mitaya hamney
Nau-i insan ko ghulami se churaya hamney
Terey kaabe ko jabeenon sey bassaya hamney
Terey Qur’an ko seeno sey lagaya hamney
Phir Bhi hamsey ye gila hai ke wafadar naheen
Ham wafadar naheen too bhi to dildar naheen

Ummaten aur bhi hain un men gunahgaar bhi hain
Ijz waley bhi hain mast-i ma-e pindar bhi hain
Inmey kahil bhi hain ghafil bhi hain hushyar bhi hain
Saikron hain ke tirey naam se bezaar bhi hain
Rahmaten hain teri aghyar ke kashanon par
Barq girti hai to becharey musalmanon par

But sanam khanon men kahte hain musalmaan gai
Hai khushi unko ke Kaabey key nigehbaan gai
Manzil-i dhar se unton ke hudi khuwan gai
Apni baghlon men dabba-e huey Qur-an ghai
Khanda zan kufr hai ehsaas tujhe hai ke naheen
ApniTauhid ka kuch paas tujhe hai ke naheen

Bani aghyar ki ab chahne wali dunya
Rahgai apne liye ek khayali dunya
Ham to rukhsat hue auron ney sanbhali dunya
Phir na kahna hui Tauheed se khali dunya
Ham to jeetey hain ke dunya men tera naam rahe
Kaheen mumkin hai ke saaqi na rahey jaam rahe?

Ye shikayat naheen hain unke khazane maamoor
Naheen mahfil men jinhen baat bhi karne ka shaoor
Qahr to ye hai ke kafir ko milen hoor-o qasoor
Aur becharey musalman ko faqat waida-i hoor
Ab wo altaaf naheen ham pe inaayaat naheen
Baat ye kiya hai ke pheli si madaraat naheen


Ishq ki khair wo pehli si ada bhi na sahi
Jada paimaiye tasleemo raza bhi na sahi
Muztarib dil sifat-i qiblanuma bhi na sahi
Aur paabandiye aaeen-i wafa bhi na sahi
Kabhi hamse kabhi ghairon se shanasai hai
Baat kahney ki naheen too bhi to harjai hai


Sarey faraan pey kiya deen ko kamil too ne
Ek isharey pe haszroon kay liye dil toone
Aathish andoz kiya ishq ka hasil toone
Phoonk di garmiye rukhsaar sey mahfil toone
Aaj kiyun seene hmare sharar aabaad naheen
Ham wohee sokhta saamaan hain tujhey yaad naheen?


Wadiye najd men wo shor-i salasil na raha,
Qais deewana-i nazzarai mehmil na raha
Hausley wo na rahey ham na rahey dil na raha
Ghar ye ujra hai ke too raunaq-i mahfil na raha
Aye khush aan rooz ke aayee wa basad naaz aayee
Bay hijabana su-i mahfil-i maa baaz aayee


Mushkilen ummat-i marhoom ki aasaan ka de
Moor-i bey maya ko hamdosh-i Sulaiman ka de
Jins-i nayab-i mohabbat ko phir arzaan karde
Hind key der nasheeno ko musalmaan karde
Joo-i khoon mi chakad az hasrat-i derina-i ma
Mee tapad nala ba nashtarkada-i seena-i ma


Boo-i gul lay gai bairoon-i chaman raaz-i chaman
Kiya qayaamat hai ke khud phool hain ghammaz-i chaman
Ahd-i gul khatm hua toot gaya saz-i chaman
Ur gai daliyon se zamzama pardaz-i chaman
Ek bulbul hai ke hai mahv-i tarannum abtak
Uske seeney men hai naghmoon ka talatum abtak


Lutf marney men hai baqi na maza jeeney men
Kuch maza hai to yihee khoon-i jigar peeney men
Kitney betaab hain johar mirey aaeeney men
Kis Qadar jalway taraptey hain mirey seeney men
Is Gulistaan men magar dekhnay waley hi naheen
Daagh jo seene men rakhte hoon wo lalay hi naheen


Faisle taqdeer ke lakeere badal nahi sakti
Eh insaan teri uske aage hargiz chal nahi sakti

Aaj tu zameen par hai kal zameen mein hoga
Maut tujhe aani hai har roz tal nahi sakti

   
Reply With Quote