Thread: Faiz Ahmed Faiz
View Single Post
Old
  (#8)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
12th July 2005, 07:15 PM

bahut khoob meena jee...

ek ek ghazal dil fareyb...Faiz sahib ka jawaab nahin...yahan share karne ka shukriya...aur iss album ka naam kya hai? main sun na chahoongi...

aur ab ek meri pasand kee...

dono jahaa.N terii mohabbat me.n haar ke
wo jaa rahaa hai koii shab-e-Gam guzaar ke


viiraa.N hai maikadaa Khum-o-saaGar udaas hai
tum kyaa gaye ke ruuTh gaye din bahaar ke


ik fursat-e-gunaah milii, wo bhii chaar din
dekhe hai.n ham ne hausale parvar-digaar ke


duniyaa ne terii yaad se begaanaa kar diyaa
tujh se bhii dil fareb hai.n Gam rozagaar ke


bhuule se muskuraa to diye the wo aaj 'Faiz'
mat puuchh val-vale dil-e-naa-kardaakaar ke


paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote