View Single Post
Old
  (#133)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
12th July 2014, 12:02 AM

dostoN daar o rasan par jo members ke apne kahe qalaam aaye unheiN neeche darj kar raha hooN

gunaah kiya kar ke ulfat 'pari' bewafaa yaar se
saza to milni hai kaise bachogi rasan-o-daar se - Praneeta


daar us suruur ka daar o rasan ham jaliis hua
phir bhii kadaa e yaar me.n be shakl mai.n hua - Aadeil


Kuch daaro rasan yooN banaa meraa aye kaarsaaz,
qaatil bhii zaar zaar ho maqtool dekh kar - Shaad


Kharaash phuloN se mere liyN moamma thi
Khulasa ishq ke daar o rasan ne khoob kiya - Zainy


Kis ko bhala dikhate ho daar o rasan ka khauff
Dil se abhi gayaa hi kaha baankpan ka khauff - Zidd


vo tegh e ulfat abke qayamat si aa bane
hum pahle meherbaa huye daar o rasan liye - Zidd


hum ko n kuchh bhi farq khizaan o bahaar meiN
kaaNte chuna hi karte haiN aksar chaman ke hum

badleN qaza ke khauf se jeene ka kyooN chalan
jeete haiN yooN bhi saaye meiN daar o rasan ke hum - Zarraa


ziyaarat e Daar o rasan, zaroree nahee hai ab,
Zarraa kay qitay nay hai dhaaya aysa kuch ghazab - Ahmad Hyderabadi (Ahmad sahab, aap ke sher meiN bhi zikr e daar o rasan tha, to maiN ne us ka bhi yahaaN shumaar kar liya )


hai koii jo is Khwaab kii taabeer bataaaye,
dekhaa hai maine daar o rasan TooT ke girte - Shaad


neeyat badal n jaaye jo munsif ki ab kaheeN
daar o rasan pe hum ne nasheman bana diya -
Zarraa

haiN ye sukh dukh hi sang e qasr e hayaat
ye hi daar o rasan sabhi ke haiN - Zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 12th July 2014 at 12:08 AM..
   
Reply With Quote