View Single Post
Old
  (#94)
AHMAD SHAKIL
Registered User
AHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant future
 
AHMAD SHAKIL's Avatar
 
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
9th January 2013, 05:09 PM

Quote:
Originally Posted by Mujeeb View Post
Aadaab !

tanween ke lafzi ma'aani haiN "poora kerna " , "mukamal kerna " .
tansween "do zabar" "do zer" or "do pesh" ko kehty haiN , tanween or noon sakin dono aik jaisy hi haiN .in maiN farq itna hai keh tanween lafz ke aakhir mai aati hai jabkeh non saakin lafz ke dermiyaN bhi aa sakta hai or aakhir maiN bhi .

aik miCaal pesh kerta hoN . lafz hai "مثلاً" lafz ki adaigi mai hamieN "noon" ki awaz bhi sunai daiti hai jabke likhny maiN "noon" nahi hota . isi tereH "waQtan " "وقتاً " "fawaQtan" "فوقتاً"

app ki asaani ke liye maiN tanween ki agli miCaloN ke aakhir maiN double quotation mark se zahir karonga (likhoNga) jaisy ke

waQta"
fawaQta"
maCla"
murawata"


and etc
Mujeeb Sahab Aap Ne Jo TANWEEN Ki Misaalen Di, WO Achi Lagin AUr KHushi Hui Ke Aap Is Urdu Sikhanay Me Madad De Rahay Hain...
Mere Paas Bhi TANWEEN Ki Kuch Misaalen Hain, Jinhen Ashaar ME Istemaal Kia Gaya Hai.... Pesh Karta Hun,....

Saath Wo Umr Bhar Mera Deti
Gar Wo Hoti Haqiqatann Meri

KHawab Toota Jo Wasl-e-Janan Ka
Ro Parri Aankh Daffa'tann Meri

Aaj Tanha Hun Main Agar Yaaro
Ye Hee Qismat Hai Ghaalibann Meri

Jab Talak Hai Usay Gharaz Mujh Se
Wo BHi Maanay Ka Maslehtann Meri







Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi

AHMAD ALI SHAKIL
   
Reply With Quote