View Single Post
Fusoon-e-alfaaz ..... the magic of words
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
Fusoon-e-alfaaz ..... the magic of words - 28th June 2014, 11:05 PM

SDC ke sabhi dostoN ko aadaab

Aaj aap ki ijaazat se ek nayee activity ka aaghaaz kar raha hooN, jis ka naam hai "fusoon-e-alfaaz", meaning the "magic of words".

Ye activity asal mein hamaare committed aur innovative moderators Shaad sahab aur Zainy sahiba ne conceive ki hai aur mujh se guzarish ki is ka aaghaaz karoon. To ise apni khushkismati samajh ke aap ke saamne ye nayee activity le kar haazir ho raha hooN.

Activity bahaut hi simple hai.

Is meiN ek lafz ya jumla diya jayega aur hum sab us par shayari karenge ... koyee sher, qit'ta ya mukhtasar si nazm kahenge, ya aur kuchh jise shayari kaha ja sake aap keh sakte haiN.

Meter ya form ki koyee bandish naheen hogi. Bas jo bhi kahein us meiN diye gale lafz ka istemaal zarooree hai.

Aur jaisa ki SDC ki sabhi activities meiN hota hai, members us par apni raay aur comments denge aur ek open conversation hoga.

Lafz dete waqt hum us ka meaning bhi denge aur saath hi kuchh aashaar ka bhi namoonaa saath meiN denge jin mein us lafz ka istemaal kiya gaya ho.

Ek lafz ek hafte tak rahega. Agle hafte phir naya lafz.

Is activity ka maqsad, mashq-e-shayari karne ke saath saath Urdu zabaan se jaan pehchaan badhaane ka bhi hai. Isliye lafz amooman aisa hoga jo ki aam bolchaal se thoda sa uncommon ho lekin jis se husn-e-shayari meiN izaafa ho sake.

Hamaara ye bilkul bhi maanna naheen hai ki shayari mahaz alfaaz ka hi khel hai, ya ke sirf mushkil lafz se hi khoobsurat shayari ho sakti hai. Qattaee naheeN. Shayari meiN simplicity aur naturalness bahaut zarooree hai.

YahaaN iraadaa bas itna hai ki agar hamari vocabulary meiN izaafa ho sake, to shayari karte waqt bayaan ke liye hamaare options badh jayenge. Shayari meiN ehsaasaat aur khayaalaat ka bayaan aur bhi khoobsurti se ho sakega. Aur mujh jaise shayari seekh rahe logon ko behr, qafiye aur radeef ki bandish meiN rehne ke liye, khayaal, maanee aur taghazzul ke saath samjhauta naheen karna padega.

Aakhir meiN, is activity ke mutalliq bas ye 3 baatein aur kehna chaahoonga ...

1. haalaaNki ye paathshaalaa section meiN hai lekin ye koyee serious class naheeN hai ... bas zauq-e-shayari ka lutf uthaane ka ek bahaana aur ek doosre se seekhne ka ek mauka

2. maiN koyee teacher ya ustaad bilkul bhi naheeN hoon ... asal mein mera urdu ka ilm bilkul bhi pukhta naheeN hai ... par mujhe is khoobsurat zabaan se beintehaa mohabbat hai aur ise gehraayee se samajhne ki behad chaah .... aur isee liye is activity is jud raha hooN

3. is activity meiN meri guzaarish hai ki sab ek doosre ka hausla badhaayeiN, galtiyoN ko sudhaareiN aur ek doosre se seekheeiN aur sikhaayeiN. jin members ka urdu zabaan ka ilm pukhta ho wo rehnumaayee karein jis se sab ko kuchh na kuchh haasil ko sake




DostoN chaliye aaghaaz karte haiN ek lafz se jo is activity ke naam ke andar hai

lafz hai ..... FUSOON

fusoon / fusooN ke meanings : magic /enchantment /spell /sorcery ... jaadoo / tilism

is lafz se kayee saare jumle bhi ban jaate haiN, e.g.

fusooN-gar : fusooN karne waala
fusooN-saaz : jis meiN fusooN ho
fusooN-zaayee : fusooN ka zaahir hona
fusooN-kaaree : fusooN karna

aur bhi kayee jumle hoNge jis ka mujhe ilm naheeN. jin members ko aur jumle pataa hoN please mention kareiN, aur agar is lafz ki aur nuances bayaan karna chaahte haiN to wo bhi kareiN.

is lafz par kuchh khoobsurat sher ...

us ka apna hi karishma hai fusooN hai yooN hai
yooN to kehne ko sabhi kehte haiN yooN hai yooN hai
-FARAAZ

ab tera hijr musalsal hai to ye bhed khula
gham-e-dil se gham-e-duniya ka fusooN kuchh kam hai
-FARAAZ

us chashm-e-fusooN-gar ka agar paaye ishaaraa
tootee ki tarah aainaa guftaar meiN aave
-GHALIB

ye kis ki chashm-e-fusooN-saaz ka karishma hai
ke toot kar bhi salaamat haiN dil ke butkhaane
NM - (part of a nazm)


FUSOON bada hi versatile lafz hai. members se darkhwast hai is lafz ko apni tarah se interpret kareiN aur apni ek original shayari meiN istemaal kareiN.

aap is ko jumle ki tarah bhi istemaal kar sakte haiN

saath saath jo members is lafz ke meanings ya usage ya nuances par khayaalaat zaahir karna chaaheiN, ya aur shoraoN ke qalaam quote karna chaaheiN wo bhi kar sakte haiN, most welcome and it will be appreciated .... par is lafz par apni original shayari kehna na bhooleiN


duaoN ke saath
zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zainy; 29th June 2014 at 12:06 AM..
   
Reply With Quote