Thread: Mat rok sakhee
View Single Post
Mat rok sakhee
Old
  (#1)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
Mat rok sakhee - 3rd March 2015, 06:45 PM

Vo solahshringaar karke , baith gaye haiN sajdhaj ke.
Piya abhi ayenge unke, bahoN meiN bhar lenge kaske.

Nayno sang nayan milenge,dil dharkega dhak dhak se,
Prem ke pankh laga kar maiN, ur jaoongi has has ke.

Matwale sayyian dekhenge, udti mujhe door gagan pe,
lautungi unki bahoN mein , machlenge armaan phisal ke.

Saans se jab saans milagi , simtega saya ekbdooje meiN,
Dil mein phool khilenge, Nachega man jhoom jhoom ke.

Pyar ki veena jab baajegi , hum jhoomenge tan man se,
Shor sagar kee lehroN ka , umer parega phir ruk ruk ke.

Sudhbudh kho baithee huN, khushboo mehki unke badan se,
Mat roko sakhee beh jane do,ab halat bahar haiN bus ke



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.

Last edited by Hamdam; 3rd March 2015 at 07:25 PM..
   
Reply With Quote