Thread: Benaam Rishte
View Single Post
part-11
Old
  (#48)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
Post part-11 - 6th February 2011, 03:02 AM

Aaj ghar pe sab log bahot khush they.. Mukhtaar jo wapas India aa gaye they. unki shaadi me mahaz 1 haftaa rah gayaa thaa... Ghar pe kaam dhaam zoron pe chal raha thaa.. Idhar Amma aur abba bhi behad khush they, Aadil ne bhi dil hi dil kubool kar liya tha Farha ko apni bhabhi par shayad Mukhtar abhi bhi use apna kubool na kar paae they.. Rakshi kahin na kahin abhi bhi unke dil me shaamil thee.

" Zarro tu chal mere saath, bazaar se bahot saari shopping karni hai." Aadil ne kaha to Zarina fat se taiyaar ho gai usne kaha, "Bhai main soch rahi thee agar hamare saath Parween bhi chale to accha rahegaa, hame bhi thodi uski madad mil jaaegi aur wo bechaari bhi apne liye kuch le legi.." Aaj Aadil ka dil na jane kyon us majloom ke liye pighal gaya thaa, unhone sahmati de di..
Car me Aadil ne ghazal chalaa deen aur chupchaap se uska maza lete hue drive kar rahe the.. Peeche Zarina aur Parween baaten karne me mashgool theeN, Zarina use bataa rahi theeN ke farha ke liye aisa dress lenge, wo necklace lenge aur wo bhi apne tazurbe unke saath baanT rahi thee.. Pahle to Aadil ne gaur na kiya tha un dono me lekin baad me wo bhi dilchaspi lene lage they.. Unhone chupke se mirrror me peeche baithe shaksh ko dekha to unki chor nazar ko us husn ki mallika ne pakad liya, wo ekdam se apni nazren churaa baithee, aur Aadil ne bhi fauran mirror se dhyaan haTaa ke ghazal pe dhyan dena shuru kar diyaa..

Aaj na jane kyon uski baaten Aadil ko bahot lubha rahi theeN, aaj itne din ke baad parween ko khush hone ka mauqaa mila to wo rok na saki khud ke jazbaaton ko.. Is roop me muskuraate hue wo aaj aur bhi zyaada haseeen nazar aa rahi thi.. " Baaji, aap ye waala joDa hi rakkhen, Farha pe khoob jachegaa."
" haan Parween maine bhi yahi socha tha, tumhari aur meri pasand kitni miltee hai..Ab baaki dresses bhi tum khud hi pasand karogi ." Itna kah ke wo dono dresses dekhne me lag gaeeN aur Aadil cigarette ke kash maarne baahar chale aaye. Unke dimaag me jo khayaal chal rahe they wo waaqai pareshaan kar dene waale they, " Kya is ladki ke liye tumhare jazbaaat badal gaye hain Aadil.. kya us nafrat ka ab isse koi naata nahi raha, kyon kii tumne nafrat isse, agar wajah ye hai ke wo tum logon ke TukDon pe mohtaaz hai to ye tumhari galatfahmi hai, yahaan rahne ka wo poora karz chukaati hai, kasoor iski badkismati ka hai aur tumhe koi haq nahi ki use aur bhi zyaada takleef pahuchaao.." Aadil ko baar baar ye baateN pareshan kiye ja rahi theeN..

Der-shaam jab ghar loute to Sabko saaman dikhaya amma boleeN, " waah ree Zarro teri pasand ki to daad deni hogi.."
" Amma ye meri akele ki pasand nahi hai isme se zyaadatar cheezen Parween ne khud pasand ki hain..." Itna sunte hi Amma ne koi jawaab to na diya lekin dil hi dil me aag lag gaee thi, na jaane kyon wo usse itna chidh khaae baithee theeN, Amma ki haalat dekh Aadil mand mand muskuraa rahe they, aur zarina bhi bhaamp gayee sab, amma ke aur maje lene ke liye Zareena ne ab wo joDaa dikhaya jo unhone Parween ke liye pasand kiyaa tha... Amma to khushi se bhar gayee thi us joDe ko dekh par apni khushi Zaahir na hone deeN..
"haan haan , theek hai, theek hai.." Fir unhone baat palaTte hue baaki ke kapdon pe dhyaan dena shuru kar diyaa.. Parween bhi bahot khush thee, aaj itne dino baad uske liye naye kapde jo aaye they..

" Mukhtaar, beta jaldi baahar aaja aaj teri haldi ki rasam hai, bahar sab log tera intezaar kar rahi hain.." wo bole.." haan Amma aap chalo main abhi aaya.." Itna kah kar wo Aadil ki taraf muDe aur kahne lage.." yaar kya hai ye sab, mujhe bilkul pasand nahi hai haldi mehndi.."
" bhai, jaana to padegaa, aakhir rasm hai nibhani padti hai..." Aadil muskuraaye...
" haan beta dekhunga,, tera bhi waqt aane waala hai bahot jald hi, fir dekhunga tu kitni khoobi se rasm nibhaata hai..." wo hasne lage to Aadil bole.." Bhai Allah se main to duaaen maang maang ke thak gaya ke ab apne naam se bhi band bajwaa do, par shaayd unhe meri duaaon ke liye fursat hi nahi hai.. filhaal to aapke sitaare jagmagaa rahe hain bhai.. enjoy karo.."

Ghar pe kaafi chahal pahel badh gayee thi, door daraaz ke mehmaan bhi aa gaye they.. sab bahot khush ho rahe they, kyonki Mukhtaar ghar me sabse bade bhai they aur pahli baar kisi Dulhe ko taiyaar kiya jaana tha is ghar se...
Sab afra tafri me lage they, kisi ko kisi ke liye fursat nahi thee.. Bas yoon lag raha tha ke kya kya kaam padaa hai baiThna uThnaa dushwaar ho gaya tha.. Parween shaadi ki taiyaari ke saath saath ghar ke members ka bhi utna hi dhyaan rakh rahi thee..
Parween Aadil ke kamre me chaay ki tray leke aai. wo chaay aage baDhaai to wo bole. " shukriya parween, tumhe sab kaise pata hota hai ki mujhe is waqt chaay ki itni talab lag rahi thee..." To usne muskuraate hue bas itna hi kahaa.. " Hame aapke saath saath baaki sabka waqt bhi raT gaya hai, kaun kitni der chaay peeta hai kab khaata hai..ab jaldi se chaay pijiye warna thandi ho jaaegi.. " Aadil ne bhi muskurate hue Chaay ki chuski maari aur use thanks kah diyaa.. Aakhir dheere dheee Aadil ki narm dili ko usne bhi mahsoos kiya tha, aur use accha lagaa tha ke kam se kam ek aadmi ke dil se nafrat wo khatam karne me kaamyaab hui, use is ghar me accha lagne laga thaa sabse pyaar ho gaya tha, aur shaayad baaki members ko bhi us ladki ki aadat pad gayee thee, aur pade bhi kyon na wo sabka itna khayaal jo rakhti thii..

Shaam hote hi dulhaan ke ghar se 5,6 ladkiyaan aa gain apne dulha-bhai ke liye mehndi ki rasm karne.. khoob mazaaq masti hui, sabne khoob enjoy kiya, aur jo hasee thitholi me saaliyon ne Mukhtaar se maze lene ki koshsih karteeN to Mukhtaar ke support me uski dono bahne Zarina aur Parween taiyaar hoke baithee rahti.. Majaal hai un dono ke saamne ek bhi saali ki chal paai ho.. Wo bechaari neg tak maangne me sharminda ho gain par Mukhtaar ne unka dil rakhte hue sabko 500, 500 deke khush kar diya.. Wo bhi apne Dulha - bhai ki tareef karte karte vidaa huin aur jaldi baraat le aane ka kahne lageeN, to Aadil ne unhe hauslaa bandhaaya " Aap sab befikar rahen, agar bhaai ne late kiya to main aa jaaunga apni baraat lekar.." wahaan maujood sabhi log Aadil ke is mazaaq pe zor se thahaake lagaa diye..

" Kya baat hai bhai, bade handsome lag rahe ho sehre me.." Aadil ne mukhtaar ki tareef kai to wo jhep gaye aur bole, "Beta ek baar shaadi ho jane de, uske baad main tujhe batata hoon.." dono haNs pade..

Raat kareeb 10 baje Rifle ke fire ke saath Mukhtaar ki Baraat rawaana hui.. Aatishbaazi ka wo nazaara tha ke dekhte hi bantaa tha.. Abba aur baaki Buzurgwaan aage aage chal rahe they, Beech me band waalon ke saath jhund ke jhund ladke naach gaane me mashgool they, un sab me Aadil bhi apni kalaa ka jauhar dikha rahe they..aur unhe ajeeb ajeeb tarah se naachte dekh Parween apni hansee nahi rok Paa rahi thee.. Peeche Aurton, ladkiyon ka ghera tha, Zarina bhi maidaan me kood paDee thi , aakhir bade bhai ki shaadi jo thee... Usne parween ko bhi ishaaron se bulaya par wo manaa kar gai, par wo zarina hi kya jo itni aasani se maan jaae.. wo aage badhi aur parween ka haanth pakad ke kheench laai.. thodi hi der me Parween bhi rang me jam gayee, aur aissa naachi ke seedhe dulhan ke ghar pe jaake hi usne saans lee...

Nikaah dono taraf se kubool ho gaya thaa.. sab ek dusre ko mubaarakbaad dene me lagey they.. Firoz saahab behad muhabbat se apne bade bhai Obaid saahab se mile, unhone aapas me mubarakbaad deeN.. khane peene ke maamle ko Imraan aur faheem sambhale hue they, dulhan ke bhai the bechaare kyon na aage badhte... Rukhsaar aur Aamna bhi bahot khush theeN, aakhir unke bacchoN ka nikaah thaa, Shaadi aise dhoomdhaam se ki gai theee, ke logon ne jitni tareef kaarni chahi, kam hi padeeN..

Aaj Parween ke husn me wo chaandni utar aai thi ke jo bhi dekhta to bas dekhta rah jaata, dulhan ka husn bhi us shokh ke aage feeka pad raha thaa..
Aadil ne unhe gaur se dekha to wo sharmaa gayeeN, Aadil ne unhe rokte hue kaha, " masha allah kahiN hamaari nazar naa lag jaae aapko.." to wo itna hi bol paai " apno ki nazar bhi bhala lagti hai kaheeN" aur jo bhaagi ke fir wo bechaare aahen bharte rah gaye.. Lekin aaj jo deedar husn ka Aadil ne kiya tha wo use kabhi bhula nahi sakte they..

khana peena sab ho jaane ke baad Aadil ne bhai ko gale se lagaa liya.. unhe aage aane wali zindgi ke liye wish kiya aur na jaane kahaaN se unki aankhon me Aansu aa gaye, Mukhtaar ki bhi Aankhen chalak padeen... Jahaan Mukhtaar ne dil hi dil me apne khudaa se rakshi ki muhabbat ke liye maafi maangi, wahin Aadil ki Aankhon se aansu ka jo qatra tapkaa usme yakeenan Farha kaa hi naam tha, lekin Wo aakhri aaNsu tha shaayad unki muhabbat ke naam kaa.....



still to come..........................


Shaad...

Last edited by sameer'shaad'; 6th February 2011 at 03:26 AM..
   
Reply With Quote