View Single Post
Old
  (#4)
ruhani
Registered User
ruhani is a jewel in the roughruhani is a jewel in the roughruhani is a jewel in the rough
 
ruhani's Avatar
 
Offline
Posts: 1,499
Join Date: Feb 2005
Location: punjab
Rep Power: 23
19th May 2005, 07:52 PM

pankaj ji ki gayi hui ek gazal ke kuch bol yaad aaye so writing ahead.

arz hai: peene pilane ke sab hai bahane
kahan ki mohabbat kahan ke fasane!
khushi mein bhi pee hai gam mein bhi pee hai
hai masti bhare ye mey ke paiymane!
kisi ne mujhe mast nazoron se dekhqa
kadam khud-b-khud ab lage dagmagane!
sataye na humko kabhi yaad-e-maazi
chalo bhool jaye wo guzre zamane!
chalo ab to "gumnam" is meykade se
tumhein dafan karne hai sab gam purane!



mera aashiyaan tha wahan jahan toofanon ka theekana tha,
ek naadan dil tha aur ek bedard zamana tha!
na jaane kyu ussi pal mil gaya ek dard naya,
jab kisi roz mere labon ka muskurana tha!

*****************************

Kutch bayani ho ehsaason ki…..
Kutch kahani ho jasbaaton ki….
Ek paaq bazm jahan ho sirf pyar…..
Dhoondte hain koi aisa manzar yaar….

Karein ek dooje se har koi lagaav….
Koi kare shikayat koi de sujaav
Naazim kare hifaazat-e-pyar…
Dhoondte hain koi aisa manzar yaar….

Buzurgoon ki kahawaat hai…
Fal-e-intezaar meetha hai….
Kehte hain Jas- Nal- Aman….
Thoda sa, bus thoda sa intezaar….

   
Reply With Quote