View Single Post
Old
  (#81)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
30th July 2011, 02:13 AM

Quote:
Originally Posted by abdulqadeert View Post
aadab ,,,

yahan sub ne gaagar me sagar bhar diya hai ,, yaqeenan ye thread layaq-e-sad sataish hai ,, taham intezaar ab bhi sahebe ghazal ka baaqi hai jiske baad humse mubtadi o talib-e-ilm hazrat ke ilm kasrat se izafa hone ke imkanat hai ,,

masood bhai aur zidd bhai ka nazriya apni jaga bilkul durust hai ,, ab maikash sahab se bhi adban guzarish hai ke jald az jald apna tabsere yahan chaspa kare.N taake sabhi hazrat chai.N ki saan's aur mustafeed o mahezooz ho sake ...allah sub ko shad o aabad rakhe ...


khadim ul khaddam

qadeertoopchi


aadaab Qadeer saheb


maiN faqat taalib-e-ilm huuN, puraani Ghazal hai aur jaisa ke ehbaab ko shubah hai har misra khaariz-az-beher hai ab chooNke maiN taKhtee ke istemaal se na'waaqif huuN isliye maine yeh Ghazal ustaad-e-muhtarim ke paas islaah ke liye bhej di hai, kal raat un se phone par guft'gu bhi hui, ab adab ka taqaaza hai ke maiN israar ki baja'ye zabt se kaam luuN

dostoN se iltijaah hai do-ek din ka waqt deiN, unka jawaab jaise hi aayega maiN yahaaN chaspaaN kar duuNga


bohat shukriya


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote