View Single Post
Old
  (#5)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
7th June 2015, 12:03 AM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
KhushbuoN meiN lipta hua shabaab aaya hai
Aaj mere pehle khat ka jawaab aaya hai

ShokhiyaN haiN, rangat aur mehak hai fiza meiN
Chhoo kar unn ke Dahan ko gulaab aaya hai

Roshan haiN aaj sarbasar, dil ke dar-o-baam
Falak se utar kar, mahtaab aaya hai

Toot kar hai chaha unn ko dil ne baar baar
Pyaar unn ke waaste be-hisaab aaya hai

Unn ki ek jhalak dekhi aankhoN ne iss qadar
ToofaN uThay haiN dil meiN, inqalaab aaya hai

Bhatakte rahe hum yuNhi sehra meiN ab talak
Bil-aakhir qareena-e-intekhaab aaya hai

Tanhaayi meiN Jiya hai Sagar ab tak iss tarha
Subh-o-shaam ashkoN ka sailaab aaya hai




1. Dahan= mouth
2. Sarbasar= completely/from one end to the other
3.Dar-o-baam= doors & ceiling/terrace
4. Mahtaab= moon

5.Qareena= Tareeqa/dhang
6.intekhaab: selection/choice

7.Sailaab: Flood

Ishq me aapka koi kalaam shayad pahli baar padh rahi hoon main....aur kya khoob muhabbat ke jazbe se range huye sabhi ashar huye hain ki bas padhte hee banta hai sagar sahab....bahut dilkash bahut khoob...yoon hee ishq ki mahfil sajate rahein.....

Likhte rahein...
aate rahein...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote