Thread: Bazm-e-ghazal
View Single Post
Old
  (#11)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
29th November 2014, 11:39 AM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
Arz kiya hai:

Tere iss sheher ka andaaz he kuchh aisa hai
Jahan rishte, pyar, mohabbat aur dosti bhi paisa hai

Ek shakhs jo iss bazm ki tanhaiyo'n mein kho gaya
maazi ke aaine mein dekha, lagey woh apna sa hai

Jiss khwab ko sanwaarne mein sarf kar di zindagi
uss khwab ki taa'bir ka dhancha bhi ab dhundla sa hai

Phir uthi maghroor lehrein 'aashna' ke dil mein aaj
Chali hain rijhaane usko sadiyo'n se jo pyasa hai..!!

SAGAR AASHNA
Sagar ji,

Aapka is mehfil mein tahe dil se swaagat hai behad khoob jazbaat hai aapke aur shukrguzaar hoon ki aapne is kahaani ko apne alfaazon se kalamband kiya hai....

aapki yeh rachnaa ghazal ki technicalities se thodi hat kar hai...aapse guzaarish hai ki aap kafiyee aur radeef ko dhayaan mein rakh kar agar is rachnaa ko thoda aur waqt de to yeh ek bahut hi behtareen ghazal ka roop le paayeGii..

Gustaakhi ke liye maaufi chaungaa par umeed karta hooN aap phirse ise ghazal ki baarikiYoN ko dhaayaan mein rakhte hue pesh karenGe..



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote