Thread: Bazm-e-ghazal
View Single Post
Old
  (#29)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
5th January 2015, 08:39 PM

Quote:
Originally Posted by bhushan View Post
Tere baba se tera haath manga tha
Maine zindagi bhar ka sath manga tha

Diya tha aapne pyar ka vasta bhi unko.
Maine Khol ke saare jasbaat manga tha

Vada kiya tha tuzhe palkon pe bithaunga
Rakhoonga samazh kar sougaat.. manga tha.

Bhaga to leta, tuzhe bedaag kaise rakhta mai
Maine bagawat nahi..inqilaab manga tha

Nahi tha shayad kisi surat tere kabil
Chakoori ne jaise maahtaab manga tha

Khuda bhi hota agar vo bhi na deta muzhe.
Sharab nahi maine aab-e-hayat manga tha

Tere baba se tera hath manga tha.


Bhushan Joshi
Bhushan bhai - behad khoob.


Maaufi chahta hoon sabse ki bahut dino tak site par nahi aa pa raha tha, par ab waapas hooN.

Is bazm ko yunhi roshan rakhiye..guzarish hai ki aakhri likhi kahaani par aur log bhi apni ghazalon ko wajah de.

Agli kahaani Jan 11th ko di jaayegi..



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote