View Single Post
Old
  (#4)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
22nd June 2016, 08:16 AM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Kahte the hamse kabhi vo
Dil me ek hasrat jagi hai
aao hai mausam gazab ka
Aur barish ruk gayi hai..

Khatm apna ye safar ab
Door jane ki ghadi hai
Chal diye vo itna kahkar
Aur barish ruk gayi hai

Abra sare boondon wale
Koi aandhi le udi hai
Chup sa hai har ek nazara
Aur barish ruk gayi hai..

Dard itna badh gaya ab
Khushk ankhon ki nadi hai
seene me kuch chan se toota
Aur barish ruk gayi hai..

Yun lage pairon ke neeche
part sholon ki bichhi hai
Kano me chubhte hain nashtar
Aur barish ruk gayi hai..

Chal madhu kab tak rukegi
Door tak koi nahi hai
Lautne ka vaqt bhi hai
Aur barish ruk gai hai...

Madhu...
Bahut hi khoobsurat nazm hui hai is baar, dheeron daad aapko Madhu aur aise ki ehsaas aur rawaangi badhti rahe yahi dua rahegi



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote