View Single Post
Old
  (#19)
dheer
Registered User
dheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant future
 
dheer's Avatar
 
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 35
5th July 2010, 01:45 PM


भला हो तेरा ओ जाने वाले, गये जहाँ से वो रस्ता भूले
सूखा जामुन घर आके देखो कभी जिसपे तुमने थे डाले झूले

लिए तुम्हारे हूं दूर कोसों, हो मेरे लेकिन करीब इतने
जो आँख मून्दू तो तुमको देखूं, बढ़ाऊँ जो तो हाथ छूले

घड़े भी तोड़े, कुएँ भी छोड़े, साथ दरिया के रुख़ भी मॉड़े
तुम्ही से बुझनी है प्यास अपनी, अहसान गैरो का हम भी क्यूँ ले


दो पल को भूलूँ तुम्हे अगर मैं, तो जाने कैसे रहूंगी ज़िंदा
मैं एक पल ही जो नाम ना लूँ, तो देखो कैसे ये साँस फूले


namaste Vikas bhaiya!
aapke huqm kee taamil karne ke liye haazir huN. poore thread par nazar paDee to Zidd saHeb ke misre
ghar aake dekho vo suukha jaamun jahaa pe tumne the jhule jhule
par aitraaz dekhaa. par mere khayaal se yeh misra bilkul theek aur rawaaN bhee. "ghar aake " meN haroof giraane kee ijaazat hai.

1. kinhee do lafzoN meN aisaa karne kee ijaazat hai, basharte rawaanee barkaraar rahe.
2. ek aur baat par dhyan diyaa ja sakta hai keh donoN lafzoN kaa combination (gharaake) se koee teesre lafz nah ban baiThe. jaise keh "ghar aane waale".. gharaane waale.... yahaaN gharaanah ek alag hee lafz hai jiskaa matlab hai khaan_daan. (yeh meraa apnaa sochnaa hai jo mehz mere mehdood tajrubeh kee ijaad hai. ho sakta hai yeh ghalat bhee hoN)

=================================================
aapkee ghazal achchhee koshish hai. kuchh misre wazn se khaarij hai so zidd saHeb unkee aur ishaaraa kar hee chuke hai. maine unheN bold meN kar diyaa hai.

iske alaavaa 2 baateN jis par kisee kaa dhyaan naheeN gayaa keh , matlaa shutur_gurbah kaa shikaar hai.

1.
भला हो तेरा ओ जाने वाले, गये जहाँ से वो रस्ता भूले!

jab "teraa" kaa isktemaal huaa hai, to "gaye" aur radeef meN "bhoole" kahnaa ghalat hai. "bhoolaa" kee gunjaaish hai.

2. ghazal ke radeef kabhee singular hai to kabhee plural. jaise keh,
"kyoN leN"
"chhoo leN"

aakhiree sher meN yeh "phoole" (kyoNki "saaNs" singular hai) ho jaataa hai. so is radeef meN naheeN khaptaa.


maiN ghalat bhee ho saktaa huN magar nazr e saanee karne meN koee harj naheeN


khairandesh
Dheer
  Send a message via Yahoo to dheer  
Reply With Quote