View Single Post
Old
  (#15)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
16th September 2014, 10:12 PM

Quote:
Originally Posted by Rajeev Sharma View Post


aKsar maiN yahi sochtaa huN
kaise bhuluN tuje...
tujhse ab koi rishtaa nhi hai meraa
ab naa hi koi baat hai
lekin dil hai ki tujhe bhulnaa nhi chahtaa
bahut koshish ki tuje bhulne ki
lekin teraa saayaa saath saath rahtaa hai
yaadoN meiN tu hi rahti hai
khwaaboN me bhi tu hi rahti ahi
aaNkheN baNd nhi karnaa chahtaa
pataa hai sirf aur sirf
tum hi dikhaai deti ho
kabhi un aNjaan si galiyoN meiN
kabhi baaNheN phailaayeN
to kabhi pass bulaate huye
kaise samjhaauN maiN es dil ko
ki tum ab pass nhi ho mere
naa hi tum ab meri ho
par dil kahtaa hai
ki tum aaj bhi meri ho
baavjud eske ki tuMhe dekheN
huye barsoN beet gye haiN
lekin aaNkhoN meiN
aaj bhi teraa hi surur hai
teraa hi nashaa khyaaloN meiN
jaise ki tu aas pass hi hai mere
mere khwaab bhi
mujhe naa jaane kahaN le jaate hai ?
jahaN jahaN dur dur tak koi naa ho
hai to tu aur sirf tu
ab kaise khwaaboN se bahar aauN
kaise tujh ko bhuluN
maiN khwaaboN se bahaar aana chahtaa huN
sach maiN tujhe bhulnaa chahtaa huN
par dil hai ki kuch sunataa hi nahi.....................





Rajeev ji......bahut khoobsurat ahsaas...!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote