Thread: ZIndagi
View Single Post
Old
  (#7)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
3rd June 2002, 03:28 PM

Praveen sahab

aadaab

ummiid hai ke khairiiyat se hoNge

aapne shikayat ki hai ke khaaksaar ne apna vaada nahiiN nibhaaya.....aur aapki shikayat kisi hadd tak jayi'z bhi hai....lekin mujhe laga ke aap in dinoN balaa-e-masroofiyat ke shikaar haiN to socha jab aapko fursat hogi to ye silsila phir se jaari kareNgey....

aapka jawaab paDhe kuch roz ho gaye lekin yaqiin kijiye haalaat kuch is tarah ke the ki haaziri na de paaya....kya kijiye janaab umr ke saath-saath sehat ki dushwaariiyaN bhi zor pakaD rahi haiN.......baharhaal der'ii ke liye muaaf kijiyega.....

agli kaDii meiN aata hai ye qitaa....

zindagi ek fasana hai tab talak lekin
zindagi sirf koi aisa fasana bhi nahin hai

ab aap issey meri nalayiquii keh lijiye ke aap iss she'r meiN kya kehna chahte haiN ye meri samajh meiN nahiiN aaya......agar aap ye kehna chahte haiN ke...zindagi tab talak ek fasana hai lekin faqat fasana bhi nahiiN hai...phir bhi , she'r ka mafhuum saaf nazar nahiiN aata.....doosre is qite ka maiN iss se upar darj baNd ke saath koi taa'luq dhuuNDne meiN bhi naakaam raha......lihaaza...agar aap ye qita dobaraa kaheN to behtar hai


shama-e-dil yun to jala hi karti hai
koi aandhi kabhi bujha bhi deti hai
chandni ho yeh zaroori to nahin itna
roshni yun to sitaron ki bahut hoti hai

is baNd ke pehle do misre bhi aapki tavvazo ke liye choDey deta huuN ....aakhiri do misre yuuN keh kar dekhiye :-

rehnuma ho chaNdnii ye zaroori to nahiiN hai
raushnii yuuN bhii sitaaroN kii bohat hoti hai

agar maii'ne ko khaatir meiN laya jaye to lafz-e-"rehnumaa" se kam-az-kam itna to saaf hua hi ki rastaa dekhne dene ke liye faqat chaNdnii ki talab ghair-zaroori hai, jiska chalne ka iraadaa ho woh sitaaroN ki raushnii meiN bhi chal sake hai


aadaab
maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote