10th April 2009, 12:11 AM
Meri Gudiya
daur sawaal jawaab ka hai to pooch leta huN line maiN lag ke ...
1) Professional ya emotional ... kya sahi hai aaj ke duniya main tumhare hisaab se .. aur tum khud ko kahan paati ho inme...
2) Mushkil daur sabki zindgi maiN aata hai .. tumhari mohabbat ka mushkil daur lag bhag mujhe maloom hai .. iske alaawa kab aisa laga tumhe ki ye waqt kab talega ... gaur farmaana maiN ek ya do din ki baat nahi kar raha maiN ek daur ki baat kar raha huN ...
3) Shayri ki mehfil mai tumhe aate arsa ho gaya .. kya lagta hai tumhe, shayri aur shayroN ke baare maiN .. ki kya wakai yahaN sab dil ki likhte hai ya alfaaz bana ke bas yuN hi... aur shayri wakai kitna sahi tareeka hai khud ko byakt karne ka...
4) Koi bhi rishta aakhir kaar kitna maiyne rakhta hai tumhare liye ... kya rishtoN maiN kisi tarah ki umeed ka hona zaroori hai..
ab personal sawaal ...
5) maiN mama kab ban raha huN ... hahahah
Baaki baad maiN aaunga ...
Tumhara apna
Kunaal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|