View Single Post
Old
  (#8)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
2nd October 2013, 10:31 AM

Chaar saal ki padhaai ke dauraan jab bhi kabhii main ghar ko jaata to sab dostoN rishtedaaroN se milne me hi waqt guzar jaata thaa... har koi mujhe pehle se zyaada tavajjoh dene lagaa thaa, har dost mujhse ab aur bhi zyaada garm joshi se milta thaa.. Par un sab ke beech shaayad koi aisi bhi cheez thii jo mujhe pasand to bilkul bhi nahi thii magar uski kami mujhe kachotne lagii thiii....

BaatoN baatoN me mujhe maloom huaa ke Nazmaa ki shaadi ho chuki hai, umar bhi bahot ho chukii thi uski, to rishta bhi milaa waisaa.. sunne me aataa thaa ke uskaa pati sharaabi aur juaari thaa... Sharaab ke nashe me ghar aaata thaa, aur Nazmaa ko khoob maarta peeTtaa thaa... ye sab sunkar na jaane kyon mujhe behad takleef bhi hoti thi, par kabhi itni himmat na huii ke uske ghar jaakar ek baar uska haal chaal pooch sakuN...

Na jaane kyaa kyaaa sochte hue ye safar bhi meraa, kaTtaa jaa rhaa thaa, aur Raat bhi bahot ho chukii thi, main na jaane kab so gayaa... Subah neend khulii to pataa chalaa station aaane me bas aadhe ghante hi reh gaye hain.. maine jaldi jaldi patni ji ko jagaayaa, sab samaan sametaa aur seat pe baithaaa chaay ki chuskiyaan lete hue akhbaar padhne lagaa... aur aakhir kaar station aa hi gayaa... sab kuch bhool kar main bilkul khushi khushi neeche utraa aur pitaaji ki taalaaash me lag gayaa... wo door se dikh gaye haath hilaate hue.... hum unse mile aur maaine unhe gale lagaaya.. aur chal diye ghar ki taraf....

Ghar me maata ji hamaare swaagat ke liye taiyaar baithi theeN, tarah tarah ke pakwaan bane they aur un logoN ki khushiyoN ka kkoi thikaana nahi thaa.. sab ne patni ji ka bhi khoob aav bhagat kiyaa.....

Sab milaa ke dekhaa jaae to itne waqt ke baad ghar jaane ki khushi me main phoolaa nahi samaa raha thaa... Agle din hum sab ne naani ke ghar jaane ka sochaa... Is baar naaani ke ghar jaane me mujhe ajeeb sa hi lag raha thaa, shaayad is baar apni patni ke sath apne bachpan se milne jaa raha thaa....

Mama mami, naani sab ne hame khoob dulaaraa, mujhe aur patni ji ko khoob duaaeN mileeN... tohfe adal badal hue.. ab mere dost, wo galiyoN ke khel kood na jaane sab kahaaN chale gaye they... Achaanak mera dil ghabraane lagaa aur main dostoN ki talaash me baahar nikal gayaa.... kuch dost naukri me lag gaye they aur kuch ne apni dukaaane khol li theeN... Main na jaane kya sochte hue Aslam ki dukaan ki taraf badh gayaa, kyonki wahi mera ek maatr dost yaad aa raha tha jo is waqt mil saktaa thaa... hum saath baithe, usne chaay mangwaai aur humne na jaane kitni baateN kariiN... ab jaakar kuch accha lagaa... maine sochaa waqt ke saath kaise insaan bhi badal jaate hain..... ab wo na ladakpan thaa na wo nadaani.. bas taqalluf hi nazar aa raha thaa....

Jab main waapas nani ke ghar pahochaa to dekhaa Nazmaa bhi wahaan hai, par ekdam khamosh , na wo shokhi usme nazar aa rahi thi na wo chulbulaa pan.... Mamu ne bataaya ke nashe ki latt ne uske shauhar ne use chhod diyaa, aur shayad usne doosri shaadi bhi kar li, usne nazma ko akelaa chhod diyaa.. aur uski amma bhi beemari se ladte bistar pakad liyaa... mujhe behad afsos huaa sunkar.... maine usse koi baaat nahi ki bas salaam kar liyaaa....

na jaane kya sochte hue main chhat par chalaaa gayaa... kisi khayaaloN me dooba huaa thaa ke achaanak nazma ki aawaaz ne mujhe chaonkaa diyaaa...
Mujhe samajh me nahi aa raha thaa ke kya baaat karuN usse... itne dukh shaayad usne dekh liye they ke ab apni umr se behad baDee nazar aane lagee thii... sanjeedgii ki misaal nazar aa rahi thii... itnaa sabr usne kiyaa tha ke uske chehere se wo sab bhaav gaayab ho gaye they jo pehle huaa karte they...

Humne baateN shuru kiiN, main jaaan bujh kar apne baaare me use bataane lagaa, padhaai likhaai aur ab shadi ke baad ka waqt , shaayad ye sab bataane ka uddeshya ye raha ho ke ek pal ko hi sahi uske gham ko thodaa door kar sakuN...

Achaaanak mujhe kuch yaaad aaaya aur maine usse kahaa, " Suno ek baat kahuN ?" usne jhijhakte hue kahaa "haan kaho"

"Tumhe pataa hai mere Ghar jhaadu lagaane kaun aata hai?"

"kaun?" usne poocha..

maine kaha "Aamir khan" aur muskuraate hue intzaar karne lagaa uske palat waar ka...

Usne bas itnaa kahaa "Kaun Aamir khan"

Main Thagaa ka Thagaa reh gayaa.... aur Zindgee ki kashmakash me joojhtii us ladkii ko dekhtaa reh gayaa.....

-Samaapt...


Shaad...
   
Reply With Quote