Thread: birthday......
View Single Post
birthday......
Old
  (#1)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
birthday...... - 2nd September 2016, 05:03 PM

kuch dhashak pahle tak middle class family me birthday celebfrate karna koi zaroori baat nahi hoti thi..vo vaqt bhi shayad aisa tha ki bachche bhi kab do se chaar ho jate the pata nahi chalta tha…koi rishtedaar agar kuch saal baad aya to koi badi baat nahi thi ki use ek member ghar me zyada mile..iski kai vajha hoti thi.khair ye ek alag baat hai aur ye alag baat hai ki jitne bhi bachche hon sabke janmdin yaad rakhein jayein..par ye kaam bhi kon kare..maa ko bachche palne se fursat nahi..aur pita ka sara vaqt unki zarooraton ke liye paise kamane me jata tha..

na koi birth certificate zaroori hota tha na vaccination card ki koi ahmiyat .aise me teej tyohar pe koi bachcha hua to vo zaroor yaad rahta tha…aur agar koi khaas mauka na hua uske janm din par to bhala kaise kisi ko yaad rahe….janm din kab hai ye sawaal maa baap ke liye utna khaas hota tha ki nahi pat nahi par bachche ke liye zaroor hota tha..
Admission ke time bhi saal yaad tha to koi bhi mahina tareekh likh ke dakhila kara diya jata tha….aur ek baar likhwa diya bas phir chutti…
Us chhote se Bachche ko shayad hee kabhi pata ho ki kya likhwa diya maa baap ne..kyun ki tab to kG me hee ""myself'" pe lines yaad karna bhi zaroori nahi hota tha..to aise me agar uske nanhe se man me kisi doosre bachche ka janm din manta dekhkar sawaal aaye ki mera janm din kab hota hai to kya kare vo…
Aisa hee kuch meri dost ragini ke sath hua jab vo class 5 me thi pahli baar uska bhi dil hua ki mere bday par bhi tohfe mile ,sab mujhe wish karein…

Aa gayi vo bhi apne maa papa ke paas poochne ab unhe yaad hota to bata dete..so yaddaasht par zor daala to ye yaad aaya ki us saal indira gandhi ko goli lagi thi vahi mahina tha ..
Ek koi aur rishtedaar thiin maa ke sath unhone kah diya falaa.n tareekh thi ja khel lo ji ho gaya bday…har saal usi tareekh pe sabhi dost clas me wish kar dete the..tab ghar me aakar bata deti thi aaj mera janm din tha……ajeeb hai na…school college sab ho gaya..ab aayi shadi ki bari to asli baat yahaan atki kyun ki ladke walon ko janmdin ki tareekh chahiye thi kundli ke liye..par kaise batayein..ghalat tareekh se to kundli bhi ghalat milti..phir ek din ragini ki bua ne baton baton me asali tareekh batayi kai subooton ke sath ki mujhe achche se yaad hai kyun ki unka beta bhi ragini ke sath ka hee tha umra me,,,to unhe dono ka janm din yaad tha…
Kundli mili shadi bhi ho gayi ab sasuraal me usi tareekh pe har saal janm din manaya jata aur doston ke beech kisi doosre mahine ki doosri tareekh par..ek din uske pati ne poocha to usne poora kissa sunaya…unhone hans ke taal diya..lekin ragini ko laga chalo doston ko bhi asli tareekh bata di jaye…

Usne jab ye baat sabke samne rakhi..sab hairaan the..asani se mante bhi kaise itne salon se use wish karte aa rahe thr..uska zodiac sign bhi nikal liya tha aur characters bhi match kara diya tha ab ye twist nahi nhi ham to usi purani date pe wish karenge..kah diya sabne…lekin unki muhabbat thi vo ab har saal dono tareekh par wish kar dete the…lekin bina tana diye nahi ki tune itne saal hame bevkoof bana ke rakha ragini……
kissi ko kya samjhati vo..aur samjhati bhi to kya vo log samajh pate., bas sun leti thi aur hans ke Taal deti thi..yahi kya kam tha ki akhir 25 saal baad use apne janm din ki tareekh sahi sahi pata chal gayi thi ………





अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..

Last edited by Madhu 14; 6th September 2016 at 03:39 PM..
   
Reply With Quote