View Single Post
Old
  (#187)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
18th May 2015, 10:18 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Aap sab ne itnI khoobsoorat ghazalein pesh ki hai..kI main kuch likhne ki himmat hee nahi kar pa rahi...bas kuch alfaaz hain dil ki kalam se...ummeed hai pasand aayenge sabhi ko....

Hai zara zara khafa sa tu hai zara zara sa to pyaar bhi..
Tujhe roothna bhi to aaye na hai kamaal tu mere yaar bhi.

Ye jo kaifiyat tere dil ki hai teri aankhon se ye bayaan ho.
Mujhe raaz deti hai ye bata ki tu jaan kare hai nisaar bhi.

Tera dil bahal hi jayega tujhe doston ki kami nahi..
main jo door tujhse chali gayi mujhe aayega na qaraar bhi.

jo sata rahe ho mujhe sanam nahi meri tumko hai aarzu
Mere baad tujhko satayenge yahi mahfilen ye dayaar bhi.

Hame paas aur bhi layenge ye jo chaar din hain judai ke
Tu madhu ke dil me sada rahe chahe fasle ho hazaar bhi.
Wah aapki isi adaa par to hum fidaa hai, kitni khoobsurti se ek behad peecheeda se lafz ko saral alfaazon mein baandh kar gahzal ka roop de diya...behad umdaa

Tareef karne ke liye lafz shayad tatoolne padenge....yunhi mehfil mein umdaa ghazalon ki baarish karte rahiYeGaa



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote