View Single Post
Old
  (#50)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
2nd July 2014, 01:27 PM

Quote:
Originally Posted by ufaq View Post
Shaad sahib....gustaakhi muaaf ...aapne shaayad is thread ko shuru se nahi pada...ya biich-2 me'n chhodkar pada hai.....post no.39 me'n Maine tasliim kiya hai ki dono alfaaz waahid hai aur inhe zaroorat parne par jama'a istemaal kiya ja sakta hai.....abhi ham sirf ustaad shuraa Ke ashaar ki padtaal kar rahe hai taaki waqt padne par hamaare paas sanad rahe....ki ye alfaaz jama'a liye gaye hai......
Ufaq saahab, muaafi ki koi baat nahi...

aapka khayaal bebuniyaad hai, main is guftgaoo ke shuru se aakhri lafz tak saath hi rahaa... aur jaisaa ke aap mera point dekhenge to maine zarraa sahab ki us baat ko quote kar ke muddaa aage badhaaya jahaan wo farmaate hain...

Ji mujhe lafz "fusoon" ke plural form mein istemaal ki koyee misaal naheen mili hai ab tak



ab agar aapne mere post ko poora padha hogaa to shayad aap dekhnege ke maine likhaa hai ke

dono hi lafz "fusoon" aur "afsoon" waahid lafz hain aur dono ke maaynii ek hi hain

to jab maayne ek hain, to aap ke is misre ke maayni main nahi samjh paa raha hoon..

dono alfaaz waahid hai aur inhe zaroorat parne par jama'a istemaal kiya ja sakta hai


ye to wahi bat hui ke dono muzakkar hain magar zarurat padne pe muannis bhi istemaal kiye ja sakte hain.... whatever

khair jahaan tak meri is post ka maslaa hai meine ye bhi kaha hai ke (agar aapne padhaa ho) ke isme lafz jod kar jaise (saazi, kaari etc) aap ise jamaa ke taur pe istemaal kar sakte hain individually nahi....


Shaad...
   
Reply With Quote