View Single Post
Old
  (#2)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
11th May 2011, 04:42 PM

Quote:
Originally Posted by @kaash View Post

Bharat hamesha se ek shantipriya desh raha hai
hamesha se saare vishwa ko ye prerna deta raha hai
har tarah ki jaati mazhab ke log yahan pyaar se rahte hain
kai bhashayen hain yahan par Hindi sabhi bolna jaante hain
Bharat sada se hi sabhi deshon ke saath mitratapoorwak rahta aaya hai
Ghulaam raha sadiyun ye par azaadi ki seekh hi deta aaya hai
Bharat hi ekmaatra aisa desh hai jo sampoorna vishwa ko disha de sakta hai
Bharat hi aisa raashtra hai jiska anukaran kar vishwa shantimay ho sakta hai

Hamesha hi tarah tarah ki samasyaon se ghira ye desh khushhaal hi raha

Janta ne socha samasyayen kum hongi par unka silsila chalta hi raha
nayi samasyayen aati rahin purani usi tarah badhti rahin,kum nahi huin
Azaad Bharat ko samasyaaon se azaad koi bhi sarkaar na kar sakin
ashikchha,bhookh,berozgaari,balaatkaar,baal shram,bijli,pani ki samasyayen to rahin hi
naksalwaad,aatankwaad aur bhrashtachaar me karodon ke ghotalon ki kitaab khul rahin

aaj Bharat ko andar bahar har taraf se khatra hai kyunki sarkaar ne aankh moond rakha hai

Bharat jis ki dharti ka kan kan behad pavitra use sarkaar ki ghalat nitiyun ne dhoomil kar rakha hai

koi bhi sarkaar aati hai janta ke hit ki nahi khud ki jeb bharne ki yojna pehle banati hai

Desh hit kaun soche,netaon ko kursi ke lie aatanakiyun ki himakat karte sharm nahi aati hai

koi bhi neta kabhi bhi bina rajneetik swaarth ke apni zubaan nahi kholna chahta hai

har neta aisi baat jo Kursi hit ki na ho sochna bhi apradh samajhta hai
har neta aisa lagta khulke desh hit ki baat karna apni tauheen samajhta hai
koi bhi neta sabhi mazhabon ko saath leke chalne ki koshish nahi karta

koi jaat-paat se vote bank mazboot karne me laga hai to koi chhetrawaad se

koi bhasha ka laabh utha satta pakar usi janta ko laga hua hai lootne me

har rajya ki sarkaar belagaam ghode ki tarah akadti hui bhaagti hui si hai lagti

jab kendra sarkaar ki hi nahi sunti to phir saajha zimmedaari se koi kaam kya karegi

Janta ko abhi tab jaat-paat chhetra bhasha se uthke sochne ko kisi ne nahi bataya

tabhi saari janta ka hit ho payega aisa bolne se har party har neta hai katraya

bus nafrat failake logon ke darmiyaan foot paida karke neta apna ullu seedha karte rahen hain

jaati chhetra ke naam pe is tarah se raajyon ko hi alag alag desh ki shakl si unke neta diye hue hain

aakhir kyun apne apne raajnetik swaarth bhulake ye neta desh hit ke lie ek jut nahi ho pate?

are ek jut to jane dijiye ye kyun Deshbhakti ki baat karne vaalon par hi gaaj girane hain lagte?
kyun nahi ye samajhte ki chahe jitna dhan jod lo,swiss bank me bhej do saath na le jaa paoge?
Janta ke liye kaarya karna saubhaagya hai marne ke baad phir aisa mauka kahan pa paaoge?
Aakhir kyun alag alag pradesh ka neta usi pradesh ke baaren me hi baat karta desh hit ko peeche rakhta?
aakhir kyun janta ko unki takat unki ekta ke baaren me batane ke lie sarkaari yojnaon me pravidhaan rahta?

jis tarah se ye neta aur unke chamche chunaav ke samay chilla chilla ke vota maangte hain?

kyun nahi kursi milne ke baadvo isi tarah sarkaari yojnaaon ke baaren me batane aaten hain?

Aakhir kyun Baal Thakre sahab desh ke buzurg ki tarah uttarbhaarteeyun ki samasyaaon par baat nahi karte?

Aakhir kyun Raaj thakrey Bollywood me lagne waale underworld ke paise aur gundon ki taali par kalakaron ka nach nahi rokte?
Aakhir kyun Chidambaram bhagwa aatankwaad se zyada ISI dwara chalaye aatankwad batate?
Aakhir kyun hum sabhi deshon ko atankwaad ke dushparinaam nahi batate,awaaz nahi uthaate?
kyun nahi Mayawati kendra sarkaar ki yojnaon ko umda bata unke kriyanvan me bhumika nibhatin?
Kyun nahi Mulayam sawarno ki samasyaon ko bhi sabko samjhayen aur is par bhashan dete?
kyun nahi Advani ji pichhdi jaati ke uthaan ke karakon par apne kushal anubhav ki raushni daalte?
Kyun nahi Laalu apne aham ko bhulake Neeteesh ji ke kaarya aur neeti ki prashansa karte?
kyun nahi Manmohan ji meedia ke saamne 'Brashtachaar Bardaasht Nahi Karenge' nirbheekta se kahte?
kyun nahi Digvijay swami Ramdev ji ko deshhit wa deshbhakti se ootprot vyaktitva kah sakte?
Kyun nahi hamare desh me smaaan shikchha wa raajniti ki shikchha par neta ek mat hain hote?
kyun nahi Soniya satta ya poori tarah apnaayen ya poori tarah chhod den? aisa sochen aisa karen?
kyun nahi vo aur unki party ke neta pradhaanmantri ji ke lie desh hit me anukool vatavaran tyaar karen?
kyun bade bade udhyogpati is desh ke prati bhi apne farz ko leke kuch bolne me hichkichate hain?
lekin ek balle aur ek gend ka nazara dekhne ke lie Arun jetli hon ya Mukesh Ambani taali peetne ke lie samay nikaal lete hain?
kyun hamare desh ki media khaaskar news channel IPL ki tarz par janta ki samasyayen aur uske nidaan ke programme chalayen?
thik hai ki unki trp giregi parantu journlism paise ke lie nahi hota,is tarah ke exclusive programme hafte me nahi sahi mhine me hi chalayen.



aakhir kab tak hamare neta mudde ki baat chhod kar chaaploosi ya swaarth se bhari bhasha bolenge?

aakhir kab tak desh ki surkchha ko leke bhi pakchha vipakchha ke neta sanjeedagi se ekmat nahi honge?


aaj netaon ke saath saath samaj sevi sansthayen,samaaj sudharak ke saath udhogpatiyun ko bhi jagna hoga?

desh hit ke liye zyada se zyada yojnayen,vidheyak,bil ke saath unke safal kriyanvan ko pramukhta dena hoga?

janta ko uski takat se awgat karana hoga,uski smasyaon ko suljhana hoga

janta me apna wishwaas paida karna hoga,Janta ko pramukhta dena hoga
janta ko bhi ye samajhna hoga ki uske voton se hi desh ki buniyaad hai
jaat-paat chhetrawaad se upar uthkar vote dena hi desh ko karna abaad hai
bahut sahi likhaa hai, janaab ...........

bahut sahi ..............

i am 101% agreed
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote