View Single Post
Old
  (#77)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
13th April 2004, 05:36 PM

Wow...that was the fastest ghazal ever written...Shimul proud of you...aur Chaand jee bus aapke kaafiyaa mein gadbad ho gayi...
baaki kee ghazal technically sahi lagti hai...

Mohabbat kee nehi jaati yeh to Khuda Kee Rehmat hoti hai,
isse pehchano tau, Khuda Kee dee huyi khaas Nemat hoti hai.......
-Shimul

hume ye badgumaani thee ke dil apna nahi tuta
magar tuta to ye jana ye dil kee fitrat hoti hai !
-anish

KyoN fakat kosta hai apne mukaddar ko ey dil
Wo Khuda sun hi na paaye to Dua, khaak asar hoti hai,
-chaand

na do dil unhein jo wafa jaante hee nahin
dil-e-naazuk masalna sang dilon ki aadat hoti hai
-paras

kaanch samj kar dil tode_ti hai jab koi hasina "kureel"
raah-e-gam mein tab maikhane se mohabbat hoti hai
-manoj

unka hukam jo hogya,bina soche hi jaan se guzar gaye
mere dosto ham kiya krain,unhain phir bhi shikayat hoti hay
-banjara


Muhabbat mein Shikayat karna ada hai yeh haseeno kay
Pathar mein bhee bhagwan ki moorat hoti hai
-Nida Siidiqui


Sang-e-raah ne yaad dilaayee zakhm-e-jafa ki phir ,
bin Thokar mar ke guzarne mein sharaafat hoti hai.

-Talib



I give the floor to any shayar or shayra who wants to start a new ghazal....Irshaad!


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote