View Single Post
Old
  (#47)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
12th June 2014, 12:02 AM

Quote:
Originally Posted by ISHK EK IBADAT View Post
Anu bhai and Sarika jee

sdc ki is mehfil me aap dono ka swagat karta hoon
aapne sawaalon ke jawaab bahut sundar diye hain

aapke jawaab padhkar mere man me ek prashn utha hai

aapke naam mast avm masti hai lekin mere anubhav ye kahta hai ki koi kitna bhi mast ho aur masti me rahe lekin jeevan ke kisi daur me koi na koi mushkil kaa saamna jaroor karna padhta hai kya aap koi aisa samay jo aapke hisaab se aapke liye mushkil ka daur ho vo haamaare sang share karna chahenge

Shukriya! aap yahan aaye aur itne lambe thread ko pada.

Apka sawaal behad khubsoorat hai, koun hain jahan main jise dard nahi hota koi pareshaani nahi aati, Mast rehna is a state of mind. Jab aap soch lete hain ki jo ho raha aur jo hoga woh iswar ki marzi hai toh aap sirf apna kaam karte hain aur aaj mein jeete hain.

Sabse pehle toh kisi ko 9 saal bina dekhe intezaar karna bohut mushkil tha, zindagi tham gayi thi 9 saalo ke liye.(pata nahi tha ki kabhi milenge bhi yaa nahi aur mil bhi gaye toh ek dusre ko un sab badlavon ke saath pasand kar paayenge jo 9 saalo mein insaan mein aa hi jaate hain.)

Ek baat kehti thi bhagwaan se ki jis din Anu mujhe mil gaya phir kabhi kuch nahi mangungi, ab bhi takleefein aur dukh bohut aate hain par haath ab dua ke liye nahi shukriya ke liye judate hain bhagwaan ke saamne.

Aapka jeewansathi achaa ho to har mushkil waqt nikal jaata hai.

Ummeed hai ki main apke sawaal ka jawaab de paayi hun.

Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote