View Single Post
maze jahaan ke apnee nazar meiN
Old
  (#1)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
maze jahaan ke apnee nazar meiN - 11th November 2013, 01:55 PM

maze jahaan ke apnee nazar meiN KHaak naheeN
siwaay KHoon-e-jigar, so jigar meiN KHaak naheeN
magar GHubaar huve par hawa uDaa le jaaye
wagarna taab-o-tavaaN baal-o-par meiN KHaak naheeN

yeh kis bahisht_shamaail kee aamad-aamad hai ?
ke GHair jalva-e-gul rahguzar meiN KHaak naheeN

bhala use; na sahee, kuchch mujhee ko raham aataa
asar mere nafas-e-be_asar meiN KHaak naheeN
KHayaal-e-jalva-e-gul se KHaraab hai maikash
sharaabKHane ke deewar-o-dar meiN KHaak naheeN
huwa hooN ishq ki GHaaratgaree se sharminda
siwaay hasrat-e-taameer ghar meiN KHaak naheeN

hamaare sher haiN ab sirf dil_lagee ke 'Asad'
khulaa ki faayda arz-e-hunar meiN KHaak naheeN


Ye bahot puranee ghazal, Ghalib saab ne apne pehle takahllus "Asad" istemaal karke likhi hai. Mujhe bhi net pe dhundte hue milee.



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote