View Single Post
Old
  (#21)
nalinmehra
The Lost Poet
nalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nice
 
nalinmehra's Avatar
 
Offline
Posts: 312
Join Date: Nov 2008
Rep Power: 20
20th July 2009, 09:29 PM

Bhai jaan, bahut bahut shukriya, jo apne meri is kavita ko padne ke liye apna keemati waqt diya, yeh baat toh ekdum sahi hai ki, us waqt aise aise khayal aate hain ki poochiye mat, khushi aur dard dono ka ehsaas agar ek saath lena hai toh, bas aise hi kisi ek lamhe ki zarurat hoti hai...........

tareef ke liye behad shukriya, bas apki dua rahi toh yunhi ehsason ko bayan karta rahunga.............
Apka Nalin

Quote:
Originally Posted by kwahish View Post
Kya baat hai Nalin jii.....

Bahut hi khubi se aapne puri raat ki kahani bayan kar dii superb thoughts..
and haan kitne sare khayal aaye hoge us waqt us shaks per jo sabah ka
besabri se intezar kar raha hai uski to tabiyat hi bayan ker dii aapne..

Bahut achcah laga aapka yeh Geet aur ahsaas ka sarmaya..
Likhate rahiye..
Khush rahiye...



Nalin

Uski Har "Uff" pe hum apni jaan lutate rahe,
Uski Shaqsiyat ko karke buland hum khudko mitate rahe,
Raahe-e-mohobbat me hamne kuch yun paya sila wafa ka,
woh dete rahe zakhm pe zakhm aur ham muskurate rahe




Please Honor me and my creative writing by visitng my website @ www.nalin-mehra.blogspot.com
   
Reply With Quote