View Single Post
shayri .. ek khushnuma safar
Old
  (#86)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
Smile shayri .. ek khushnuma safar - 8th March 2013, 07:49 PM

adaab dostoN ..

bahut dinoN se dil meiN kuch baateiN thi jinhe aap saahebaan ke saath baaNtna chaah raha tha ..

mere shayri ke safar ko kareeb kareeb 17 saal hone waale haiN aur apne tajurbe se maine jo seekha kahiN na kahiN mera farz banta hai ki maiN use aap dostoN ke saath baaNtuu ..

yahaaN maiN ek baat saaf karna chaahunga ki maiN kisi ko kuch bhi sikhaane ki koshish nahi kar raha huN
haaN ..shayri ka safar shuru karne wale kisi bhi dost ko agar iss se faaida hota hai to mere liye ye fakR ki baat hogii


shayri naam zehan meiN aate hi ek alag sii romaaniyat aur khoobsoorat juzbaat ka aihsaas aapki shakhsiyat meiN juzb hone lagta hai ..

shayri ki iss buzm meiN mauzood har sukhanwar apne aap meiN Qaabil e taareef hai kyuN ki duniya meiN har shakhs ko ye aamad nahi ki vo apne dil ki baat shayri ke zariye bayaaN kar sake aur agar aap khudgo( shayar ) haiN to yaQeenan khuda ne aapko iss duniya meiN makhsoos rakha hai !

badi zaahir sii baat hai ki har cheez ko karne ka ek Qaaida hota hai to issi ke chalte shayri ke bhi kuch adaab haiN

amoonan .. SHER , QITA , GHAZAL aur NUZM shayri meiN sabse zyada pasand kii jaane waalii kism haiN

mere khyaal se jo aihbaab parhne ke saath saath khud bhi shayri karna chaahte haiN unhe shuruaat sher aur Qita kahne ki koshish karni chaahiye !

wajeh maiN saaf karna chaahunga ..

sher meiN 2 misreiN ( lines ) hote haiN aur unhi meiN apnii baat kahnii hoti hai ! to mere khyaal se chote se shuruaat karna zyada asaan hai ..

sher kahne ke kuch Qaaide haiN jinpe zaroor tavajjoh chaahunga

(1) sabse pehli aur zaroori baat ki sher ka mazmoon hona chaahiye ..
mani aap jo sher kah rahe haiN uska kuch matlab nikalna chaahiye !

(2) sher ke dono misre ek hi beher (rythem) meiN hone chaahiye !

(3) sher ko donoN misroN meiN rabt (relation) honi chaahiye aur aapki baat ka matlab dosra misra kahne ke baad nikalna chaahiye !

jahaaN tak maiN samjhta huN inke alawa agar aapko sher kahne ke liye kisi cheez ki zaroorat hai to vo hai .. aapki fikR

zaahir hai ki agar aap kuch kahna chaah rahe haiN to zaroor aapke dil meiN kuch hoga aur yaQeen maaniye fikR hona sher kahne ke liye sabse zaroori hai !

maiN QaaidoN ki gehraai meiN nahi jana chaahta kyuN ki shayri karne ke liye gehraai juzbaatoN ki honi chahiye .. aihsaasoN ki honi chaahiye aur phir shayri to khud ek khoobsoorat aihsaas hai to use kasrat kyuN banaya jaaye..

baaki chizoN pe bhi hum baarii baarii se baat karenge .. shayad maiN is post ko edit kar ke apnii baat wahiN se shuruN karuN jahaaN pe khatm kar raha huN !

is silsile meiN agar aapka koi sawaal ho to use bejhijhak rakhiye inshallaaH maiN aapko mutmain karne ki har mumkin koshish karunga ..

filhaal ijaazat chaahunga

zor e Qalam aur ziyada !!!


andaaz
   
Reply With Quote