View Single Post
Old
  (#28)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
3rd January 2010, 12:08 PM

Quote:
Originally Posted by MahamAzmi View Post


TORONTO kee eik toofaani raat ke naam ye adnaa se kaavish jiska janam Maham ke haqeer se qalam se hoa
haazir hei




Aakaash ki wusaton ko qadam pe jhukne dije
mast badal ko ajj yunhee karaknae dijae

Saqi bhi hai jaam e maiy bhi hai faza bhi hei
Kuch dair tou aur yae nasha charnae dije

Barson simta raha apne khaul mein ye badan
Ajj isko apnee banhon mein bikharnae dije

Tapte raigzaar ki maanind piyasi meri ruh
Piyar kee is badli ko rimjhim barasne dije

Had se guzar jayae,toot ke kije piyar hame
Parwah na kije!Mere dil ko yun dharakne dije

Behakne dijae qadam alam e madhoshi mein
Mast nigahon se yunhee sharab chalakne dije

Bin piyae hi aap na larkhara jain tou manain
Anchal hamare shaanon se zara sarakne dije

Kab se dabbi chingari tan man mein sulag rahi
Ajj shoula e ishq ko zoron pe bharakne dije

Rouk lijiyae khumar bhare madhosh lamhon ko
Aj ki is raat ko sawaire ke liyae tarasnae dije

Firaq e yaar mein gira ansoo maang raha hisaab
Lamha e visaal ko kuch aur abhee tarapne dijae


kabhi tou khul ke baras abr e mehbarbaan ki tarha
mera wajud hie jalte hoay makaan ki tarha


ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
   
Reply With Quote