View Single Post
Old
  (#6)
vaaiz
Registered User
vaaiz is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 110
Join Date: Dec 2004
Rep Power: 20
11th February 2005, 01:08 PM

yehi problem hoti hai jub hum sub kuch sameet ke rakhna chachte hain....

Agaah aapni maut se koi bashar nahin...
samaan saubaras ka hai, pal ki khabar nahin.."

Hum loog kyon bhool jaate hain ki haqeequat ko chupaane se kuch nahin hoot hai.. woh to ho chuki hai... phir bhi humain umeed rehti hai doosroon se.. ki koi aayega... koi nahin aat hai.. aap ko jannat dekhni hai to marna aap hi ko padega.. doosre ke marne se kabhi jannat nahin dikhti hai....

Galib saheb ki eek nazum, jo ki ishara karti kai zamane se expectations ko lee kar... peech hai...

"rahiye ab aisii jagah chalakar jahaa.N koii na ho
hamasuKhan koii na ho aur hamazabaa.N koii na ho

bedar-o-diivaar saa ik ghar banaayaa chaahiye
koii hamasaayaa na ho aur paasabaa.N koii na ho

pa.Diye gar biimaar to koii na ho tiimaaradaar
aur agar mar jaaiiye to nauhaa_Khvaa.N koii na ho "

To ruhani jee....

Dukh ki kumi nahin hai duniya main..
woh to hum hain to jeeye chale ja rahe hain..
doosron ne koshish to bahut ki thi...
par hum hain jo maut se aab tak lade ja rahe hain...


Vaaiz
   
Reply With Quote