View Single Post
Old
  (#166)
sandysandy
Registered User
sandysandy is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 37
Join Date: Aug 2005
Rep Power: 0
5th June 2007, 03:07 PM

Quote:
Originally Posted by mausam View Post

Jis simt bhi dekhoun, nazar aata hai kay tum ho
Ae Jaan-e-jahan,yeh koi tumsa hai kay tum ho


by ahmed faraz
Mera zauq-e-did shayad abhi kaargar nahi,
Woh nazar ke saamne hai mujhey kuchh khabar nahi hai

Idhar dard dil main uttha udhar woh huye pareshaan,
Yeh payaam kaisi pahuncha mujhey kuchh khabar nahi hai

Mey chalaa jo sajdaa karne mere dil ne yeh sadaa di,
Yeh hai Maikade ki chohkhat yeh khudaa ka ghar nahi hai

Mey chaman ki zimedaari abhi apne sir na loonga
Merey baghbaan ka waada abhi mautebar* nahi hai

Nahi yeh junoon-e-sajdaa toh aur kya hai Mahir
Ke wahan bhi rakh diya sir jahaan inka dar nahi hai...

*Respectable

Kam toh pehle sher se he ho gaya tha, but this gazal is good thats why i wrote full.... sorry if i did any thing wrong

Mahir Ratlami


Yeh wafaa ke sakht raahen, yeh tumhare paao naazuk
Na lo inteqam mujhse mere saath saath chal ke.....

Dil diya thaa to muqader bhee ataa kar detey,
warna taqhlik se pehley he fanaa kar detey,
tumne samajhi hee nahi ishq kee azmat warna,
hum tumhey ek he sajdey main khudaa kar detey...

Meri bandagi hai woh bandagi, jo qaid-e-dair-o-haram nahi,
mera ek nazar tujhey dekhna, ba-khuda namaz se kam nahi...
   
Reply With Quote