Thread: Bazm-e-ghazal
View Single Post
Old
  (#15)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
2nd December 2014, 09:11 PM

Uski khamosh nighaheiN mujh se kuch kehti hai,
Deewanani tere prem ki tere dil mein rehti hai.

Bolti ho bahut kabhi tau chup bhi ho jaya karo,
Kaun jane ab kyon vo itna khamosh rehti hai.

Kabhi mil baith kar sajaya tha sapno ka shehar,
Ab vo sapne na rahe aur neend kahan rehti hai.

Door haiN jismon se hum dono ek duje se magar,
Yaad tau sehra pe hardam milti rehti hai.

Mana humari mohabbat parvan na chari lekin ,
Apne pyar ki shamma tau ab bhi jalti rehti hai.

Log tau bewajah tanz kasa karte haiN aksar,
Ashiqon ke zakhmon mein tees kahaN rehti hai.

Vo jo hus hus ke pyar mein char gaye the sooli,
Un chiragon per ye duniya bhi fida rehti hai.

Ab tere hothoN pe na sajti haiN garam sanseiN,
Unmein toh bus ek thandi si aah chipi rehti hai.



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.

Last edited by Qasid; 4th December 2014 at 11:16 PM.. Reason: on request
   
Reply With Quote