Thread: Bazm-e-ghazal
View Single Post
Old
  (#22)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
7th December 2014, 11:49 AM

Mast ji namaskar,
Aapne shirkat ke paimane bohot unchee rakhe hain aur khaksaar ko gazalon ki jyada pehchan nahi.......
Kuch alfaz bikhere hain........hazraat se iltaja hai ki dil bada karke kuch na kuch ahsaas dhoond lijiyega.....



Juda uski yadoon se hokar mai jee pata
Kash uski sharbati aankho ko bhool pata

Oodh kar chadar thand me nikalna uska.
Dhooan udati garm sansoo ko bhool pata

Gulab se oothon par titliyon se alfaz uske
Kash uski bholi batoon ko bhool pata

Kuch to izhaar uski nazar ne bhi kiya tha.
Kash mai bhi apni ulzhan ko bhool pata.

Dar tha ek dost kho na doon pyar me
Bohot masoom tha vo kya meri khata ko bhool pata

Bachpana kehna use.. ab bura lagta nahi.
Bachpan ki kash mai us pari ko bhool pata

Khelte the bachpan me hum bhi chupan-chupai
Chupne ki mai kash us jagah ko bhool pata

Dekha sari umr jise panapte kali se gulab tak
Gulabi fizaoon ki kash us zhalak ko bhool pata.

Bhoolta nahi uske sath gujra koi lamha muzhe
Kash un lamhoo ki taseer bhool pata

Pata hai sab use bhi..ulfat bhala chupi hai
Kash vo bhi meri doosti ko bhool pata.

Vo aateen hai milne aapne humsafar ke sath
Kash mai bhi apne mazi ko bhool pata

Basaya tha uske sang kabhi jo khwaboon me
Khushiyoon ke kash mai us shaher ko bhool pata

Bhushan Joshi



Bhushan Joshi
   
Reply With Quote