Thread: SMS Shayari
View Single Post
Recovering From Break Up
Old
  (#10)
meet
Registered User
meet is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 6
Join Date: May 2008
Rep Power: 0
Love Recovering From Break Up - 28th May 2008, 04:26 PM



Bhulaya tha duniya ko jinki chaahat main
Unko bhoolanay ko ab kidhar jayain hum
Yeh duniya bhi to ab paraya samajhti hai mujh ko
Kis ko apnay dukh ab sunayain hum
Na koi aarzoo na umeedain hi raheen
zindagi ho gaye azaab tumko khotay hi
Jhulas gaye her kali dil kay gulshan ki
Gham kay railay lagay tumko khotay hi
Woh khwab jinhain hum nay sajaye thay
Palko pay jin khyalon ko hum nay basaye thay
Ek sailaab sa aaya aansoon ka yoon
Her khushi kho gaye tumko khotay hi

ab na janay gay kabhi hum kay zindagi kya hoti
tum hoti ger sung to tum zindagi hoti
saath hotay hum to kis rang main yeh rangi hoti
tum khushi hoti to zindagi kitni khush hoti
dil ko nahi koi aur phir aaaaarzoo hoti
tum hoti meri sab kuch to tum sabhi kuch hoti
na gham na koi dukh na fikar hoti
aye kaash mere rab kay tum meri hoti
kyon basi hai tu ab tak yaadon main meri
jab tere dil main mere liye jagah hi nahi
dil lagaya hi kyon tha zalim tu nay
jab nibhana tujhe aata hi nahi
khel kay dil say 'sahir' kay tu nay
zakhm woh chora jo phir bhara hi nahi
tumhain chaaha jo maine
to phir kuch aur nahi chaaha
tujhe soncha jo hum nay
to phir kuch aur nahi soncha
tujhe maanga jo rab say
to phir kuch aur nahi maanga
tujhe paaya jo hum nay
to phir her khushiyan maine paaya
tujh say bichara jo main...
to ek zakhm hua dil main...
jo phir na kabhi bhar paya...
tore kay khwab mere
woh apni duniya basanay chalay
mere gham kay saaye main
woh apni khushiya mananay chalay
is dil ko tore kar
kaheen aur dil lagaanay chalay
bujha kay duniya meri
woh apni shama jalanay chalay
badaltay hain log aise
jaise kuch yaad hi nahi
woh pyar jo kabhi hota tha
us ki parwaah hi nahi
hasrat main duniya kay
woh bhi niklay khwar kaheen
badla yoon dil unka
jaise tha pyar hi nahi
wafa kya hoti hai unko samjhaye koi
jo kuchal gaye magan apnaypan main
khushi lay nay aur duniya ki
ghamon ko chor gaye woh kisi kay daamun main
haan sach hai kay tha dil, beqaraar tujh say
thi chaahat mujhe, beshoomar tujh say
phir kya kiya tu nay, kyon dil badal sa gaya
Kyon ho gaya yeh dil ab, bayzaar tujh say
udaasi thi bicharnay pay tere
phir laga baitha main dil aur kaheen
sab bhool gya kya gham tha
jo mili kushi phir aur kaheen
matlabi hain bohot yahan
kisi aise say na dil lagana
jin ka badlay dil aise jaise
kisi mausam ka badal jaana
roz sunayengay phir woh
koi aur naya bahana
naye dastaan yeh nahi
varson ka hai yehi fasaana
woh duniya jo sung basaye thi
ek fasana sa ab lagnay lagi
badal gaye rastay jo milay thay dilon kay
unki galiyan ab paraya lagnay lageen
woh chehra jo basa tha is dil main
ab woh apna bhi baygana lagnay lagi
Do pal kay haseen khwab
Do dil kay fasanay
Yaad aatay hain ab bhi
Woh guzray zamanay
Saanson ki mahak unki
Mohabbat say kahi her baat
Mashook bari zalim thi
Bari qaatil hai unki yaad
Bhoolay bicharay woh waaday
Kachay dhaagon si woh kasmain
Do pal kay thay saaray
Na Hue kabhi woh apnay
Yaad aatay hain ab bhi
Woh guzray zamanay
Do pal kay haseen khwab
Do dil kay fasanay
Meri mohabbat main gur teri qurbat hoti
mere ihsaas-e-jigar ko teri shafaqat milti
her din guzarta mera phir teri parastish main
her khwahish ko tere meri himaayat milti
umeed pay bhi phir jee leta main ashqiyaa
sirf thori si jo teri mohabbat se wajahat milti
(qurbat - acceptance, shafaqat - mercy, compassion
wajahat - dignity, ashqiyaa - heartless)

Teri judaii say hai duniya ka her gham
Yaadain teri mere dil ka marhum
Khyalon main ho tum mere hum dum
Bus jao aa kay dil main aye hum dum
   
Reply With Quote