View Single Post
Re: terii yaad ki sham'aa se haiN ujaale......Ghazal
Old
  (#6)
shrdh
Registered User
shrdh will become famous soon enoughshrdh will become famous soon enough
 
shrdh's Avatar
 
Offline
Posts: 1,474
Join Date: Dec 2005
Location: singapore
Rep Power: 21
Re: terii yaad ki sham'aa se haiN ujaale......Ghazal - 25th May 2006, 04:18 PM

Quote:
Originally posted by maikasH
aadaab dosto,




Ghazal ka matlaa pehle likha , socha tha ke ek musalsal Ghazal kehne ki koshish karuuNga lekin phir Gham-e-yaaraN ke takaazey se mooNh na phera gaya to Ghazal yuuN huii, aapki khidmat meiN pesh kar raha huuN


Ghazal ka matlaa mere ustaad-e-mutarim ke aNdaaz-e-sukhan ka saaya hai, voh aksar ziNdagi ki kadvi sacchaiiyoN ko sukhan meN dhaalte rahe haiN, maine kabhi tassavur taq na kiya tha ke maiN kabhi is silsiley meiN koi she'r kahuuNga lekin in dinoN ziNdagi kuch aisi berukhii se pesh aa rahi hai ke yuuN hi chalte chalte do misrey zehan meiN aaye aur is Ghazal ka aaGhaaz hua.....pehle do misroN meiN ek aise mehnatkash aadmi ka haal-e-dil bayaan karne ki koshish ki hai jo din bhar jee toD mehnat karta hai aur shaam ko jab uski hatheli par do sikkey Tikaa diye jaate haiN jis se voh apna aur apne parivaar ka ek liye do roTiiyaaN taq na khareed sake to voh apne haathoN ke zakhmoN ko dekhte hue ro padta hai.........khair aap Ghazal mulaiiza kijiye :-



miley na jo mehnat se do bhi nivaale
roya maiN dekh apne haathoN ke chhalley


bhaut sach kaha hai aapne ----------------

kareiN bhi gilaa ab to kis se kareiN
humhiiN ne to saaNp aasteenoN meiN paale


ji khud ki galti jo kisi ne fayda uthaya hamara ---------------


Gham-e-ziNdagi ke aNdheroN meiN jaanaaN
terii yaad ki sham'aa se haiN ujaale

ji bhaut khoob ye bhi sher

kuch aur hi baat thi unki saaqi
vo dete the bhar ke jo aaNkhoN se pyaale

aankhon ka nasha ---------- bhaut khoob laga


badi aarzoo hai ke mehNdii lagaa kar
vo aa ke mere kafn pe khaak daale

bhaut gahri baat kahi hai aapne ----------------



chali aana saara jahaaN aazmaa kar
maiN baiThaa huuN apni wafa ko saNbhaale

bhaut khoob sara jahan mai nahi milegi wafa mere jaisi

---------------------

"maikash" tere baad dhooNdeNge tujhko
"sharaabi,sharaabi" tujhe kehne vaale

bhaut bhaut achha raha aapko padhna




kahir aNdesh
maikash
maikash ji
aapki kahi hui har baat mai bhaut kuch chupa hua hai

padhna bhaut hi achha raha aapko

isi tarah aapko padhte rahenge yahi umeed hai

kuch sher to jaise khud ki daanatan kahte se lage

bus shayer jo likh de sabko apni kahani lage wahi to badhi baat hai

aapki
shrdh


  Send a message via Yahoo to shrdh  
Reply With Quote