View Single Post
Old
  (#5)
noor_noor
Registered User
noor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 545
Join Date: Feb 2009
Rep Power: 25
30th December 2009, 04:36 AM

Quote:
Originally Posted by kwahish View Post
Mehfil e Ishq ki bazm ko mera salam,

Bahut dino bad koi nazm kahi hai, aapki nazar pesh kar raha huN........




Aye jaan ! kabhi aisa bhi huaa hoga
Tu dekhe aaina chehra mera dikha hoga
Chuke guzare tujhe hawa ka jhonka
Tujhe laga ho maine chuaa hoga

Aye jaan ! kabhi aisa bhi huaa hoga

Ahsaas mere dil meiN rakha ker
Raah chalte ajnabi ko dekha ker
Ek waham dil mein to jaga hoga
Us shaks mein tujhe main laga hoga

Aye jaan ! kabhi aisa bhi huaa hoga

Kisi gulaab ko tumne todaa hoga
Koi kanta phir tujhe chubha hoga
Ek sisak si uthi hogi badan mein tere
Mujhe yaad kar tune ungli ko chumaa hoga

Aye jaan ! kabhi aisa bhi huaa hoga

kahan maza fakhat baatoN mein hai
Kya maza hijar ki raatoN mein hai
Din mein tujhe bhi khumaar chaya hoga
Palke mund tune din ko raat banaya hoga

Aye jaan ! kabhi aisa bhi huaa hoga

Shiddat e mohobbat ki tasir to hai
zubaan bhi ek badi shamshir to hai
tune kisi aur ka naam lena chaha
Zubaan per mera naam aaya hoga

Aye jaan ! kabhi aisa bhi huaa hoga
Aye jaan ! kabhi aisa bhi huaa hoga


waah sahab cha gaye zabardast nazm bhut hi achi lagi har band ke ehsaas lajawaab daad hazir hai aapki is dalfaraib paishkash par qubool keejiye


aslam


you.n na samjhoge kinare pe khade rehkar tum
behta dariya hu.n mujhy haath se choo kar daikho
   
Reply With Quote